Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab dida-e-bina ka hawala nahin milta

Mashkoor Husain Yaad

jab dida-e-bina ka hawala nahin milta

Mashkoor Husain Yaad

jab dīda-e-bīnā havāla nahīñ miltā

phir koī bhī duniyā havāla nahīñ miltā

vo ālam-e-bālā to tire dil meñ makīñ hai

jis ālam-e-bālā havāla nahīñ miltā

aalā meñ to adnā ke havāle havāle

adnā meñ aalā havāla nahīñ miltā

jis jān-e-tamannā ke havāle hai mirī jaañ

us jān-e-tamannā havāla nahīñ miltā

ye ruuh savālāt hai koī munājāt

kyā miltā hai bas kyā havāla nahīñ miltā

ham aaj haiñ aur aaj hai kal se bhī aage

achchhā hai jo fardā havāla nahīñ miltā

paidā hai to pinhāñ ke havāloñ se bharā hai

pinhāñ se to paidā havāla nahīñ miltā

apne havāle havā khā ke ḳhush rah

har aan havāla havāla nahīñ miltā

behtar hai ki ab ḳhud se judā ho ke bhī dekheñ

dariyā meñ to dariyā havāla nahīñ miltā

'mashkūr' mirī jaan chale aa.e ho tanhā

tanhā ko to tanhā havāla nahīñ miltā

jab dida-e-bina ka hawala nahin milta

phir koi bhi duniya ka hawala nahin milta

wo aalam-e-baala to tere dil mein makin hai

jis aalam-e-baala ka hawala nahin milta

aala mein to adna ke hawale hi hawale

adna hi mein aala ka hawala nahin milta

jis jaan-e-tamanna ke hawale hai meri jaan

us jaan-e-tamanna ka hawala nahin milta

ye ruh sawalat hai ya koi munajat

kya milta hai bas kya ka hawala nahin milta

hum aaj hain aur aaj tu hai kal se bhi aage

achchha hai jo farda ka hawala nahin milta

paida hai to pinhan ke hawalon se bhara hai

pinhan se to paida ka hawala nahin milta

tu apne hawale ki hawa kha ke hi KHush rah

har aan hawala ka hawala nahin milta

behtar hai ki ab KHud se juda ho ke bhi dekhen

dariya mein to dariya ka hawala nahin milta

'mashkur' meri jaan chale aae ho tanha

tanha ko to tanha ka hawala nahin milta

Source :
  • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 150)
  • Author : Naseer Ahmed Nasir
  • Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 5,6 April To Sep. 1998)
  • Edition : Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now