Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

is ālam-e-vīrāñ meñ kyā anjuman-ārā.ī

do roz mahfil hai ik 'umr tanhā.ī

phailī haiñ fazāoñ meñ is tarah tirī yādeñ

jis samt nazar uTThī āvāz tirī aa.ī

ik naaz bhare dil meñ ye 'ishq hangāma

ik gosha-e-ḳhalvat meñ ye dasht pahnā.ī

auroñ mohabbat ke dohrā.e haiñ afsāne

baat apnī mohabbat hoñToñ pe nahīñ aa.ī

afsūn-e-tamannā se bedār huī āḳhir

kuchh husn meñ be-tābī kuchh 'ishq meñ zebā.ī

vo mast nigāheñ haiñ vajd meñ raqsāñ hai

tasnīm lahroñ meñ firdaus rā'nā.ī

in madh-bharī āñkhoñ meñ kyā sehr 'tabassum' thā

nazroñ meñ mohabbat duniyā simaT aa.ī

is aalam-e-viran mein kya anjuman-arai

do roz ki mahfil hai ek 'umr ki tanhai

phaili hain fazaon mein is tarah teri yaaden

jis samt nazar uTThi aawaz teri aai

ek naz bhare dil mein ye 'ishq ka hangama

ek gosha-e-KHalwat mein ye dasht ki pahnai

auron ki mohabbat ke dohrae hain afsane

baat apni mohabbat ki honTon pe nahin aai

afsun-e-tamanna se bedar hui aaKHir

kuchh husn mein be-tabi kuchh 'ishq mein zebai

wo mast nigahen hain ya wajd mein raqsan hai

tasnim ki lahron mein firdaus ki ra'nai

in madh-bhari aankhon mein kya sehr 'tabassum' tha

nazron mein mohabbat ki duniya hi simaT aai

Source :
  • Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 114)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now