Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pal mein ek sadi ka maza humse puchhiye

Khumar Barabankavi

ek pal mein ek sadi ka maza humse puchhiye

Khumar Barabankavi

ik pal meñ ik sadī mazā ham se pūchhiye

do din zindagī mazā ham se pūchhiye

bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ meñ ham

qistoñ meñ ḳhud-kushī mazā ham se pūchhiye

āġhāz-e-āshiqī mazā aap jāniye

anjām-e-āshiqī mazā ham se pūchhiye

jalte diyoñ meñ jalte gharoñ jaisī zau kahāñ

sarkār raushnī mazā ham se pūchhiye

vo jaan ga.e ki hameñ un se pyaar hai

āñkhoñ muḳhbirī mazā ham se pūchhiye

hañsne shauq ham ko bhī thā aap tarah

hañsiye magar hañsī mazā ham se pūchhiye

ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai 'ḳhumār'

tauhīn-e-mai-kashī mazā ham se pūchhiye

ek pal mein ek sadi ka maza hum se puchhiye

do din ki zindagi ka maza hum se puchhiye

bhule hain rafta rafta unhen muddaton mein hum

qiston mein KHud-kushi ka maza hum se puchhiye

aaghaz-e-ashiqi ka maza aap jaaniye

anjam-e-ashiqi ka maza hum se puchhiye

jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahan

sarkar raushni ka maza hum se puchhiye

wo jaan hi gae ki hamein un se pyar hai

aankhon ki muKHbiri ka maza hum se puchhiye

hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah

hansiye magar hansi ka maza hum se puchhiye

hum tauba kar ke mar gae be-maut ai 'KHumar'

tauhin-e-mai-kashi ka maza hum se puchhiye

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Khumar Barabankavi

Khumar Barabankavi

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now