Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

Mahirul Qadri

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

Mahirul Qadri

har nafas meñ dil betābī baḌhāte jā.iye

duur rah kar bhī mire nazdīk aate jā.iye

ik zarā tham tham ke ye parde uThāte jā.iye

dekhne vāloñ nazreñ āzmāte jā.iye

mere is zulmat-kade ko jagmagāte jā.iye

ho sake to merī ḳhātir muskurāte jā.iye

phir isī andāz se nazreñ milāte jā.iye

dekhne vāloñ nazreñ āzmāte jā.iye

koī taskīn sūrat batāte jā.iye

phir apnī yaad se ġhāfil banāte jā.iye

rafta rafta ḳhud ko dīvāna banāte jā.iye

husn dilchaspiyoñ ke kaam aate jā.iye

aql kahtī hai dobāra āzmānā jahl hai

dil ye kahtā hai fareb-e-dost khāte jā.iye

kufr o īmāñ ke sivā bhī kuchh manāzir aur haiñ

un ke har andāz par īmān laate jā.iye

aa jā.egā koī qismat maarā qais bhī

har taraf umm-e-ruḳh-e-lailā bichhāte jā.iye

maiñ ne kuchh fitrat paa.ī hai ajab mushkil-pasand

merī har mushkil ko mushkil-tar banāte jā.iye

yaad hai 'māhir' mujhe un vo kahnā yaad hai

aaj to bas raat bhar ġhazleñ sunāte jā.iye

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye

dur rah kar bhi mere nazdik aate jaiye

ek zara tham tham ke ye parde uThate jaiye

dekhne walon ki nazren aazmate jaiye

mere is zulmat-kade ko jagmagate jaiye

ho sake to meri KHatir muskuraate jaiye

phir isi andaz se nazren milate jaiye

dekhne walon ki nazren aazmate jaiye

ya koi taskin ki surat batate jaiye

ya phir apni yaad se ghafil banate jaiye

rafta rafta KHud ko diwana banate jaiye

husn ki dilchaspiyon ke kaam aate jaiye

aql kahti hai dobara aazmana jahl hai

dil ye kahta hai fareb-e-dost khate jaiye

kufr o iman ke siwa bhi kuchh manazir aur hain

un ke har andaz par iman late jaiye

aa hi jaega koi qismat ka mara qais bhi

har taraf umm-e-ruKH-e-laila bichhate jaiye

main ne kuchh fitrat hi pai hai ajab mushkil-pasand

meri har mushkil ko mushkil-tar banate jaiye

yaad hai 'mahir' mujhe un ka wo kahna yaad hai

aaj to bas raat bhar ghazlen sunate jaiye

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

har nafas mein dil ki betabi baDhate jaiye Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now