Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

Ahmad Mushtaq

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

Ahmad Mushtaq

har lamha zulmatoñ ḳhudā.ī vaqt hai

shāyad kisī chehra-numā.ī vaqt hai

kahtī hai sāhiloñ se ye jaate samay dhuup

hushyār naddiyoñ chaḌhā.ī vaqt hai

hotī hai shaam aañkh se aañsū ravāñ hue

ye vaqt qaidiyoñ rihā.ī vaqt hai

koī bhī vaqt ho kabhī hotā nahīñ judā

kitnā aziiz us judā.ī vaqt hai

dil ne kahā ki shām-e-shab-e-vasl se na bhaag

ab pak chukī hai fasl kaTā.ī vaqt hai

maiñ ne kahā ki dekh ye maiñ ye havā ye raat

us ne kahā ki merī paḌhā.ī vaqt hai

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai

shayad kisi ki chehra-numai ka waqt hai

kahti hai sahilon se ye jate samay ki dhup

hushyar naddiyon ki chaDhai ka waqt hai

hoti hai sham aankh se aansu rawan hue

ye waqt qaidiyon ki rihai ka waqt hai

koi bhi waqt ho kabhi hota nahin juda

kitna aziz us ki judai ka waqt hai

dil ne kaha ki sham-e-shab-e-wasl se na bhag

ab pak chuki hai fasl kaTai ka waqt hai

main ne kaha ki dekh ye main ye hawa ye raat

us ne kaha ki meri paDhai ka waqt hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

har lamha zulmaton ki KHudai ka waqt hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now