Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar

Moghisuddin Fareedi

humne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar

Moghisuddin Fareedi

ham ne tanhā-nashīnī ḳharīdī to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar

sham.a mehrāb-e-dil meñ jalā.ī to hai ārzūoñ apnī kafan bech kar

mutma.in haiñ bahut aaj arbāb-e-fan apnā sarmāya-e-fikr-o-fan bech kar

jaise ā.īna rakh de koī māh-vash halqa-e-zulf bāñkpan bech kar

kho gayā dard hangāma-e-shahr meñ luT rahī hai dukān-e-matā-e-nazar

ab bhī taufīq agar hai to ahl-e-junūñ baḌh ke le lo use jaan o tan bech kar

rut badaltī rahī rañg uḌte rahe kam-nazar bāġhbāñ kam-nazar rahe

ik ḳhayābāñ ko sairāb karte rahe ābrū-e-bahār-e-chaman bech kar

hai 'farīdī' ajab rañg-e-bazm-e-jahāñ miT rahā hai yahāñ farq-e-sūd-o-ziyāñ

nuur bhiik tāroñ se lene lagā āftāb apnī ik ik kiran bech kar

hum ne tanha-nashini KHaridi to hai raunaq o shorish-e-anjuman bech kar

shama mehrab-e-dil mein jalai to hai aarzuon ka apni kafan bech kar

mutmain hain bahut aaj arbab-e-fan apna sarmaya-e-fikr-o-fan bech kar

jaise aaina rakh de koi mah-wash halqa-e-zulf ka bankpan bech kar

kho gaya dard hangama-e-shahr mein luT rahi hai dukan-e-mata-e-nazar

ab bhi taufiq agar hai to ahl-e-junun baDh ke le lo use jaan o tan bech kar

rut badalti rahi rang uDte rahe kam-nazar baghban kam-nazar hi rahe

ek KHayaban ko sairab karte rahe aabru-e-bahaar-e-chaman bech kar

hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahan miT raha hai yahan farq-e-sud-o-ziyan

nur ki bhik taron se lene laga aaftab apni ek ek kiran bech kar

Source :
  • Book : Kufr-e-tamanna (Pg. 31)
  • Author : Mugheesuddeen Faeeidi
  • Publication : Maktaba Jamia LTD in Jamia Nagar, Delhi (1987)
  • Edition : 1987
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now