Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum jun chakor ghash hain aji ek yar par

Rangin Saadat Yaar Khan

hum jun chakor ghash hain aji ek yar par

Rangin Saadat Yaar Khan

ham juuñ chakor ġhash haiñ ajī ek yaar par

bulbul tarah nahīñ dete hazār par

gar meñ kuchh nahīñ hai to dekhe hai kyuuñ mujhe

uñglī ko pher pher ke teġhe dhaar par

pā-bos-e-yār hameñ hasrat hai ai nasīm

āhista ā.īyo hamāre mazār par

ruḳhsār par numūd huā ḳhat ḳhabar bhī hai

ya.anī kamar kasī hai ḳhizāñ ne bahār par

'rañgīñ' to le ke baiThe haiñ asbāb-e-aish sab

aave ba-shart-e-yār bhī apne qarār par

hum jun chakor ghash hain aji ek yar par

bulbul ki tarah ji nahin dete hazar par

gar ji mein kuchh nahin hai to dekhe hai kyun mujhe

ungli ko pher pher ke teghe ki dhaar par

pa-bos-e-yar ki hamein hasrat hai ai nasim

aahista aaiyo tu hamare mazar par

ruKHsar par numud hua KHat KHabar bhi hai

yani kamar kasi hai KHizan ne bahaar par

'rangin' to le ke baiThe hain asbab-e-aish sab

aawe ba-shart-e-yar bhi apne qarar par

Source :
  • Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 69)
  • Author : hasrat mohani
  • Publication : uttar pardesh urdu acadmy
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now