hum ek din nikal aae the KHwab se bahar
ham ek din nikal aa.e the ḳhvāb se bāhar
so ham ne rañj uThā.e hisāb se bāhar
isī umiid pe guzrī hai zindagī saarī
kabhī to ham se miloge hijāb se bāhar
tumhārī yaad nikaltī nahīñ mire dil se
nasha chhalaktā nahīñ hai sharāb se bāhar
kisī ke dil meñ utarnā hai kār-e-lā-hāsil
ki saarī dhuup to hai āftāb se bāhar
'shanās' khol diye jis ne ham pe sab asrār
vo ek lafz milā hai kitāb se bāhar
hum ek din nikal aae the KHwab se bahar
so hum ne ranj uThae hisab se bahar
isi umid pe guzri hai zindagi sari
kabhi to hum se miloge hijab se bahar
tumhaari yaad nikalti nahin mere dil se
nasha chhalakta nahin hai sharab se bahar
kisi ke dil mein utarna hai kar-e-la-hasil
ki sari dhup to hai aaftab se bahar
'shanas' khol diye jis ne hum pe sab asrar
wo ek lafz mila hai kitab se bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.