Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath se napta hun dard ki gahrai ko

Ahmad Mushtaq

hath se napta hun dard ki gahrai ko

Ahmad Mushtaq

haath se nāptā huuñ dard gahrā.ī ko

ye nayā khel milā hai mirī tanhā.ī ko

thā jo siine meñ charāġh-e-dil-e-pur-ḳhūñ na rahā

chāTiye baiTh ke ab sabr-o-shakebā.ī ko

dil-e-afsurda kisī tarah bahaltā nahīñ

kyā kareñ aap is hausla-afzā.ī ko

ḳhair badnām to pahle bhī bahut the lekin

tujh se milnā thā ki par lag ga.e rusvā.ī ko

nigah-e-nāz na milte hue ghabrā ham se

ham mohabbat nahīñ kahne ke shanāsā.ī ko

dil hai nairangī-e-ayyām pe hairāñ ab tak

itnī baat bhī mā'lūm nahīñ bhaa.ī ko

hath se napta hun dard ki gahrai ko

ye naya khel mila hai meri tanhai ko

tha jo sine mein charagh-e-dil-e-pur-KHun na raha

chaTiye baiTh ke ab sabr-o-shakebai ko

dil-e-afsurda kisi tarah bahalta hi nahin

kya karen aap ki is hausla-afzai ko

KHair badnam to pahle bhi bahut the lekin

tujh se milna tha ki par lag gae ruswai ko

nigah-e-naz na milte hue ghabra hum se

hum mohabbat nahin kahne ke shanasai ko

dil hai nairangi-e-ayyam pe hairan ab tak

itni si baat bhi ma'lum nahin bhai ko

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

hath se napta hun dard ki gahrai ko Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now