Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna

Shuja Khaavar

ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna

Shuja Khaavar

ghar meñ bechainī ho to agle safar sochnā

phir safar nākām ho jaa.e to ghar sochnā

hijr meñ imkān itne vasl sirf ik vāqi.a

vus.at-e-sahrā meñ kyā dīvār-o-dar sochnā

ya.anī ghar aur dasht donoñ lāzim-o-malzūm haiñ

qā.eda ye hai idhar rahnā udhar sochnā

is tarah jiinā ki auroñ bharam qaa.em rahe

maut bar-haq hai magar us chāra-gar sochnā

zindagī bhar zinda rahne yahī tarkīb hai

us taraf jaanā nahīñ bilkul jidhar sochnā

tum shujā-ḳhāvar ho duniyā-dār aur maiñ jān-dār

maiñ to bas aa.heñ bharūñgā tum asar sochnā

ghar mein bechaini ho to agle safar ki sochna

phir safar nakaam ho jae to ghar ki sochna

hijr mein imkan itne wasl sirf ek waqia

wusat-e-sahra mein kya diwar-o-dar ki sochna

yani ghar aur dasht donon lazim-o-malzum hain

qaeda ye hai idhar rahna udhar ki sochna

is tarah jina ki auron ka bharam qaem rahe

maut bar-haq hai magar us chaara-gar ki sochna

zindagi bhar zinda rahne ki yahi tarkib hai

us taraf jaana nahin bilkul jidhar ki sochna

tum shuja-KHawar ho duniya-dar aur main jaan-dar

main to bas aahen bharunga tum asar ki sochna

Source :
  • Book : Allah Hu (Pg. 31)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now