Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

furaat-e-chashm mein ek aag si lagata hua

Akhtar Razaa Saleemi

furaat-e-chashm mein ek aag si lagata hua

Akhtar Razaa Saleemi

MORE BYAkhtar Razaa Saleemi

    furāt-e-chashm meñ ik aag lagātā huā

    nikal rahā hai koī ashk muskurātā huā

    pas-e-gumān ka.ī vāhime jhapaTte hue

    sar-e-yaqīn koī ḳhvāb lahlahātā huā

    guzar rahā huuñ kisī jannat-e-jamāl se maiñ

    gunāh kartā huā nekiyāñ kamātā huā

    ba-sū-e-dasht-e-gumāñ de rahā hai izn-e-safar

    kanār-e-ḳhvāb sitāra jhilmilātā huā

    furaat-e-chashm mein ek aag si lagata hua

    nikal raha hai koi ashk muskuraata hua

    pas-e-guman kai wahime jhapaTte hue

    sar-e-yaqin koi KHwab lahlahata hua

    guzar raha hun kisi jannat-e-jamal se main

    gunah karta hua nekiyan kamata hua

    ba-su-e-dasht-e-guman de raha hai izn-e-safar

    kanar-e-KHwab sitara sa jhilmilata hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now