Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Dub kar KHun mein kis rang se paikan nikla

Zafar Ahmad Siddiqi

Dub kar KHun mein kis rang se paikan nikla

Zafar Ahmad Siddiqi

Duub kar ḳhuun meñ kis rang se paikāñ niklā

dil-e-īzā-talab ab to tirā armāñ niklā

qābil-e-dīd adā hai tire dīvāne

jeb-o-dāmān-e-qabā chāk-garebāñ niklā

jāda-e-rāh-e-mohabbat darāzī mat pūchh

manzil-e-shauq har zarra bayābāñ niklā

maut ne 'zafar' is kāhish-e-paiham se najāt

dard samjhe the jise ham vahī darmāñ niklā

Dub kar KHun mein kis rang se paikan nikla

dil-e-iza-talab ab to tera arman nikla

qabil-e-did ada hai tere diwane ki

jeb-o-daman-e-qaba chaak-gareban nikla

jada-e-rah-e-mohabbat ki daraazi mat puchh

manzil-e-shauq ka har zarra bayaban nikla

maut ne di 'zafar' is kahish-e-paiham se najat

dard samjhe the jise hum wahi darman nikla

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now