Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki maujon ki taDap meri sada mein aae

Asif Saqib

dil ki maujon ki taDap meri sada mein aae

Asif Saqib

dil maujoñ taḌap merī sadā meñ aa.e

dā.ere karb ke phaile to havā meñ aa.e

mere hāthoñ ne ā.īna dikhāyā thā mujhe

kitne mushkil the taqāze jo duā meñ aa.e

ham ġharībī meñ bhī me.ār-e-safar rakhte haiñ

girte paḌte sahī apnī anā meñ aa.e

in se ham sher tāsīr baḌhā lete haiñ

kaise lahje tire āñchal havā meñ aa.e

vo to pahchān mauhūm nazar rakhtā hai

ham yūñhī sāmne zaḳhmoñ qabā meñ aa.e

āḳhirī sher manzil bhī kaḌī hai 'sāqib'

soch ke kitne safar zehn-e-rasā meñ aa.e

dil ki maujon ki taDap meri sada mein aae

daere karb ke phaile to hawa mein aae

mere hathon hi ne aaina dikhaya tha mujhe

kitne mushkil the taqaze jo dua mein aae

hum gharibi mein bhi mear-e-safar rakhte hain

girte paDte hi sahi apni ana mein aae

in se hum sher ki tasir baDha lete hain

kaise lahje tere aanchal ki hawa mein aae

wo to pahchan ki mauhum nazar rakhta hai

hum yunhi samne zaKHmon ki qaba mein aae

aaKHiri sher ki manzil bhi kaDi hai 'saqib'

soch ke kitne safar zehn-e-rasa mein aae

Source :
  • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 310)
  • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
  • Publication : Ahmad Nadeem Qasmi (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
  • Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now