dil ki dahliz pe jab sham ka saya utra
dil kī dahlīz pe jab shaam kā saaya utrā
ufuq-e-dard se siine meñ ujālā utrā
raat aa.ī to añdhere kā samundar umDā
chāñd niklā to samundar meñ safīna utrā
pahle ik yaad sī aa.ī ḳhalish jaañ ban kar
phir ye nashtar rag-e-ehsās meñ gahrā utrā
jal chuke ḳhvāb to sar nāmā-e-tābīr khulā
bujh ga.ī aañkh to palkoñ pe sitārā utrā
sab ummīdeñ mire āshob-e-tamannā tak thiiñ
bastiyāñ ho ga.iiñ ġharqāb to dariyā utrā
dil ki dahliz pe jab sham ka saya utra
ufuq-e-dard se sine mein ujala utra
raat aai to andhere ka samundar umDa
chand nikla to samundar mein safina utra
pahle ek yaad si aai KHalish jaan ban kar
phir ye nashtar rag-e-ehsas mein gahra utra
jal chuke KHwab to sar nama-e-tabir khula
bujh gai aankh to palkon pe sitara utra
sab ummiden mere aashob-e-tamanna tak thin
bastiyan ho gain gharqab to dariya utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.