Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dard ke pile gulabon ki thakan baqi rahi

Naseer Ahmad Nasir

dard ke pile gulabon ki thakan baqi rahi

Naseer Ahmad Nasir

dard ke piile gulāboñ thakan baaqī rahī

jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ thakan baaqī rahī

pāniyoñ jism sahlātī rahī purvā magar

TūTte bante habāboñ thakan baaqī rahī

diid āsūdgī meñ kaun kaise dekhtā

darmiyāñ kitne hijāboñ thakan baaqī rahī

falsafe saare kitāboñ meñ ulajh kar rah ga.e

dars-gāhoñ meñ nisāboñ thakan baaqī rahī

bārisheñ hotī raheñ 'nāsir' samundar taraf

regzāroñ meñ sarāboñ thakan baaqī rahī

dard ke pile gulabon ki thakan baqi rahi

jagti aankhon mein KHwabon ki thakan baqi rahi

paniyon ka jism sahlati rahi purwa magar

TuTte bante hababon ki thakan baqi rahi

did ki aasudgi mein kaun kaise dekhta

darmiyan kitne hijabon ki thakan baqi rahi

falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae

dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi

barishen hoti rahen 'nasir' samundar ki taraf

regzaron mein sarabon ki thakan baqi rahi

Source :
  • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 192)
  • Author : Naseer Ahmed Nasir
  • Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
  • Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now