chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
chāñd sitāroñ se kyā pūchhūñ kab din mere phirte haiñ
vo to bichāre ḳhud haiñ bhikārī Dere Dere phirte haiñ
jin galiyoñ meñ ham ne sukh kī sej pe rāteñ kaaTī thiiñ
un galiyoñ meñ byākul ho kar sāñjh savere phirte haiñ
rūp-sarūp kī jot jagānā us nagrī meñ jokham hai
chāroñ khūñT bagūle ban kar ghor añdhere phirte haiñ
jin ke shyām-baran saa.e meñ merā man sustāyā thā
ab tak āñkhoñ ke aage vo baal ghanere phirte haiñ
koī hameñ bhī ye samjhā do un par dil kyuuñ riijh gayā
dekhī chitvan bāñkī chhab vaale bahtere phirte haiñ
ik din us ne nain milā ke sharmā ke mukh moḌā thā
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte haiñ
us nagrī ke baaġh aur man kī yaaro lailā nyārī hai
panchhī apne sar pe uThā kar apne basere phirte haiñ
log to dāman sī lete haiñ jaise ho jī lete haiñ
'ābid' ham dīvāne haiñ jo baal bikhere phirte haiñ
chand sitaron se kya puchhun kab din mere phirte hain
wo to bichaare KHud hain bhikari Dere Dere phirte hain
jin galiyon mein hum ne sukh ki sej pe raaten kaTi thin
un galiyon mein byakul ho kar sanjh sawere phirte hain
rup-sarup ki jot jagana us nagri mein jokham hai
chaaron khunT bagule ban kar ghor andhere phirte hain
jin ke shyam-baran sae mein mera man sustaya tha
ab tak aankhon ke aage wo baal ghanere phirte hain
koi hamein bhi ye samjha do un par dil kyun rijh gaya
dekhi chitwan banki chhab wale bahtere phirte hain
ek din us ne nain mila ke sharma ke mukh moDa tha
tab se sundar sundar sapne man ko ghere phirte hain
us nagri ke bagh aur man ki yaro laila nyari hai
panchhi apne sar pe uTha kar apne basere phirte hain
log to daman si lete hain jaise ho ji lete hain
'abid' hum diwane hain jo baal bikhere phirte hain
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 696)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.