Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-nashsha bahak raha hun kab se

Shohrat Bukhari

be-nashsha bahak raha hun kab se

Shohrat Bukhari

be-nashsha bahak rahā huuñ kab se

dozaḳh huuñ dahak rahā huuñ kab se

patthar hue kaan maut ke bhī

suulī pe laTak rahā huuñ kab se

jhaḌtī nahīñ gard āgahī

dāman ko jhaTak rahā huuñ kab se

lahore ke khañDaroñ meñ yārab

bulbul chahak rahā huuñ kab se

raushan na huiiñ ġhazal sham.eñ

sho.ala bhaḌak rahā huuñ kab se

tārīk haiñ rāste vafā ke

sūraj chamak rahā huuñ kab se

TuuTā na fasurdagī jaadū

ġhuncha chaTak rahā huuñ kab se

jaltā nahīñ be-kasī ḳhirman

bijlī lapak rahā huuñ kab se

is hirs-o-havā tīrgī meñ

sonā damak rahā huuñ kab se

sunsān hai vādī-e-takallum

bādal kaḌak rahā huuñ kab se

bastī koī ho to mil bhī jaa.e

sahrā meñ bhaTak rahā huuñ kab se

gulchīñ koī ho to qadr jaane

jañgal meñ mahak rahā huuñ kab se

haañ ai ġham-e-ishq mujh ko pahchān

dil ban ke dhaḌak rahā huuñ kab se

paimāna-e-umr tarah se

har lamha chhalak rahā huuñ kab se

mālūm ye ab huā ki 'shohrat'

dīvāna huuñ bak rahā huuñ kab se

be-nashsha bahak raha hun kab se

dozaKH hun dahak raha hun kab se

patthar hue kan maut ke bhi

suli pe laTak raha hun kab se

jhaDti nahin gard aagahi ki

daman ko jhaTak raha hun kab se

lahore ke khanDaron mein yarab

bulbul sa chahak raha hun kab se

raushan na huin ghazal ki shamen

shoala sa bhaDak raha hun kab se

tarik hain raste wafa ke

suraj sa chamak raha hun kab se

TuTa na fasurdagi ka jadu

ghuncha sa chaTak raha hun kab se

jalta nahin be-kasi ka KHirman

bijli sa lapak raha hun kab se

is hirs-o-hawa ki tirgi mein

sona sa damak raha hun kab se

sunsan hai wadi-e-takallum

baadal sa kaDak raha hun kab se

basti koi ho to mil bhi jae

sahra mein bhaTak raha hun kab se

gulchin koi ho to qadr jaane

jangal mein mahak raha hun kab se

han ai gham-e-ishq mujh ko pahchan

dil ban ke dhaDak raha hun kab se

paimana-e-umr ki tarah se

har lamha chhalak raha hun kab se

malum ye ab hua ki 'shohrat'

diwana hun bak raha hun kab se

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now