Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-naqab unki jafaon ko kiya hai maine

Qamar Moradabadi

be-naqab unki jafaon ko kiya hai maine

Qamar Moradabadi

be-naqāb un jafāoñ ko kiyā hai maiñ ne

vaqt ke haath meñ ā.īna diyā hai maiñ ne

ḳhuun ḳhud shauq o tamannā kiyā hai maiñ ne

apnī tasvīr ko ik rañg diyā hai maiñ ne

ye to sach hai ki nahīñ apne garebāñ ḳhabar

terā dāman to ka.ī baar siyā hai maiñ ne

rasan o daar taqdīr jagā jis ne

terī duniyā meñ vo ailān kiyā hai maiñ ne

harf aane na diyā ishq ḳhuddārī par

kaam nākām tamannā se liyā hai maiñ ne

jab kabhī un jafāoñ shikāyat hai

tajziya apnī vafā bhī kiyā hai maiñ ne

muddatoñ baad jo is raah se guzrā huuñ 'qamar'

ahd-e-rafta ko bahut yaad kiyā hai maiñ ne

be-naqab un ki jafaon ko kiya hai main ne

waqt ke hath mein aaina diya hai main ne

KHun KHud shauq o tamanna ka kiya hai main ne

apni taswir ko ek rang diya hai main ne

ye to sach hai ki nahin apne gareban ki KHabar

tera daman to kai bar siya hai main ne

rasan o dar ki taqdir jaga di jis ne

teri duniya mein wo ailan kiya hai main ne

harf aane na diya ishq ki KHuddari par

kaam nakaam tamanna se liya hai main ne

jab kabhi un ki jafaon ki shikayat ki hai

tajziya apni wafa ka bhi kiya hai main ne

muddaton baad jo is rah se guzra hun 'qamar'

ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

be-naqab unki jafaon ko kiya hai maine Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now