Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam

Laiq Aajiz

baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam

Laiq Aajiz

bādshāhī ho ki daryūza-garī mausam

bhūltā nahīñ vo ham-safarī mausam

khetiyāñ chhāloñ hotī thiiñ lahū ugte the

kitnā zarḳhez thā vo dar-badarī mausam

hirz-e-jāñ Thahre jo sahrā meñ Thikāna mil jaa.e

bastiyoñ meñ to hai āshufta-sarī mausam

aao zaḳhmoñ se phir ik baar lipaT kar ro leñ

varna aane ko hai ab baḳhiya-garī mausam

roz-e-avval se hai chhāyā huā mujh par ab tak

kirchiyāñ hone shaqq-ul-basharī mausam

ab kabhī lauT kar aa.egā na shāyad 'ājiz'

Duub kar piine dāman tarī mausam

baadshahi ho ki daryuza-gari ka mausam

bhulta hi nahin wo ham-safari ka mausam

khetiyan chhaalon ki hoti thin lahu ugte the

kitna zarKHez tha wo dar-badari ka mausam

hirz-e-jaan Thahre jo sahra mein Thikana mil jae

bastiyon mein to hai aashufta-sari ka mausam

aao zaKHmon se phir ek bar lipaT kar ro len

warna aane ko hai ab baKHiya-gari ka mausam

roz-e-awwal se hai chhaya hua mujh par ab tak

kirchiyan hone ka shaqq-ul-bashari ka mausam

ab kabhi lauT kar aaega na shayad 'ajiz'

Dub kar pine ka daman ki tari ka mausam

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now