Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai

Kalidas Gupta Raza

azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai

Kalidas Gupta Raza

azal se tā-ba-abad ek kahānī hai

isī se ham ko na.ī dāstāñ banānī hai

ujaḌ to saktā hai lekin badal nahīñ saktā

vo haq-shanās jo ik ahd nishānī hai

ḳhirad bāteñ kahāñ tak karoge dīvāno

ḳhirad ke naam pe kuchh ḳhaak bhī uḌānī hai

tumhāre rañg-e-jafā ko bhī hai qayām kahīñ

hamāre ishq manzil to kāmrānī hai

faqat samajhne ke andāz haiñ qadīm o jadīd

fasāna-go ke to lab par vahī kahānī hai

hayāt laakh ho faanī magar ye sun rakhiye

hayāt se jo hai maqsūd ġhair-fānī hai

sunī-sunā.ī pe tarjīh laakh baar us ko

kitāb-e-dil 'razā' baat āsmānī hai

azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai

isi se hum ko nai dastan banani hai

ujaD to sakta hai lekin badal nahin sakta

wo haq-shanas jo ek ahd ki nishani hai

KHirad ki baaten kahan tak karoge diwano

KHirad ke nam pe kuchh KHak bhi uDani hai

tumhaare rang-e-jafa ko bhi hai qayam kahin

hamare ishq ki manzil to kaamrani hai

faqat samajhne ke andaz hain qadim o jadid

fasana-go ke to lab par wahi kahani hai

hayat lakh ho fani magar ye sun rakhiye

hayat se jo hai maqsud ghair-fani hai

suni-sunai pe tarjih lakh bar us ko

kitab-e-dil ki 'raza' baat aasmani hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

azal se ta-ba-abad ek hi kahani hai Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now