Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk-e-gulgun ko na KHun-e-shohada ko dekha

Mirza Mayal Dehlvi

ashk-e-gulgun ko na KHun-e-shohada ko dekha

Mirza Mayal Dehlvi

ashk-e-gulgūñ ko na ḳhūn-e-shohadā ko dekhā

shoḳh jaisā ki tire rang-e-hinā ko dekhā

tujh ko dekhā na tire nāz-o-adā ko dekhā

terī har tarz meñ ik shān-e-ḳhudā ko dekhā

haiñ tujhe dekh ke hūrān-e-bahishtī betāb

tire kushta-e-andāza-o-adā ko dekhā

tishna-e-āb-e-dam-e-teġh ne piinā kaisā

aañkh uThā kar na kabhī āb-e-baqā ko dekhā

mujhe kāfir batānā hai ye vā'iz kam-baḳht

maiñ ne bandoñ meñ ka.ī baar ḳhudā ko dekhā

nik.hat--ezulf-e-mo.ambar ko chaman meñ paayā

aate jaate tire kūche meñ sabā ko dekhā

'mā.il' īmān hai bil-ġhaib hameñ logoñ

ki payambar ko hai dekhā na ḳhudā ko dekhā

ashk-e-gulgun ko na KHun-e-shohada ko dekha

shoKH jaisa ki tere rang-e-hina ko dekha

tujh ko dekha na tere naz-o-ada ko dekha

teri har tarz mein ek shan-e-KHuda ko dekha

hain tujhe dekh ke huran-e-bahishti betab

ya tere kushta-e-andaza-o-ada ko dekha

tishna-e-ab-e-dam-e-tegh ne pina kaisa

aankh uTha kar na kabhi aab-e-baqa ko dekha

mujhe kafir hi batana hai ye wa'iz kam-baKHt

main ne bandon mein kai bar KHuda ko dekha

nikhat--ezulf-e-moambar ko chaman mein paya

aate jate tere kuche mein saba ko dekha

'mail' iman hai bil-ghaib hamein logon ka

ki payambar ko hai dekha na KHuda ko dekha

Source :
  • Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 228)
  • Author : Hasrat Mohani
  • Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
  • Edition : 1983
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now