Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajal ki phunk mere kan mein sunai di

Bilal Ahmad

ajal ki phunk mere kan mein sunai di

Bilal Ahmad

MORE BYBilal Ahmad

    ajal phūñk mire kaan meñ sunā.ī

    jab us ne shab ke thake diip ko rihā.ī

    darūn-e-ḳhāk rahā kārvān-e-nik.hat-o-rañg

    numū ne sabr kiyā āḳhirash duhā.ī

    ulajh rahā thā abhī ḳhvāb fasīl se maiñ

    ki nā-rasā.ī ne ik shab mujhe rasā.ī

    havā safha-e-larzāñ banāne vaale ne

    mizha nok pe ashkoñ raushnā.ī

    phir ek shab ye huā ḳhvāb ke shajar se pare

    hazār rañg āvāz ik dikhā.ī

    ajiib Dhañg se taqsīm-e-kār us ne

    so jis ko dil na diyā us ko dilrubā.ī

    sanā usī jo muhtāj-e-harf-o-saut nahīñ

    ki jis ne ashk ke lahje meñ nam-navā.ī

    ajal ki phunk mere kan mein sunai di

    jab us ne shab ke thake dip ko rihai di

    darun-e-KHak raha karwan-e-nikhat-o-rang

    numu ne sabr kiya aaKHirash duhai di

    ulajh raha tha abhi KHwab ki fasil se main

    ki na-rasai ne ek shab mujhe rasai di

    hawa ka safha-e-larzan banane wale ne

    mizha ki nok pe ashkon ki raushnai di

    phir ek shab ye hua KHwab ke shajar se pare

    hazar rang ki aawaz ek dikhai di

    ajib Dhang se taqsim-e-kar ki us ne

    so jis ko dil na diya us ko dilrubai di

    sana usi ki jo muhtaj-e-harf-o-saut nahin

    ki jis ne ashk ke lahje mein nam-nawai di

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now