Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ada se dekh lo jata rahe gila dil ka

Asad Ali Khan Qalaq

ada se dekh lo jata rahe gila dil ka

Asad Ali Khan Qalaq

adā se dekh lo jaatā rahe gila dil

bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil

sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil

huā tumhāre bigaḌne se faisla dil

bahār aate kunj-e-qafas nasīb huā

hazār haif ki niklā na jo sila dil

jo ye nishāna uḌā do to samjheñ tīr-fagan

bahut hai nāvak-e-mizhgāñ se fāsla dil

ilāhī ḳhair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai

Tapak rahā hai ka.ī din se aabla dil

chalā hai chhoḌ ke tanhā kidhar tasavvur-e-yār

shab-e-firāq meñ thā tujh se mashġhala dil

vo riñd huuñ ki mujhe hathkaḌī se bai'at hai

balā hai gesū-e-jānāñ se silsila dil

phirā jo kūcha-e-kākul se koī pūchheñge

sunā hai luT gayā raste meñ qāfila dil

umīd-e-sub.h meñ kartā huuñ chaak dāman-e-shab

junūñ meñ roz nikālā hai mashġhala dil

vo zulm karte haiñ ham par to log kahte haiñ

ḳhudā bure se na Daale mu'āmla dil

hazār fasl-e-gul aa.e junūñ vo josh kahāñ

gayā shabāb ke hamrāh valvala dil

ḳhudā ke haath hai apnā ab ai 'qalaq' insāf

butoñ se hashr meñ hogā muqābla dil

ada se dekh lo jata rahe gila dil ka

bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka

sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka

hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka

bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua

hazar haif ki nikla na jo sila dil ka

jo ye nishana uDa do to samjhen tir-fagan

bahut hai nawak-e-mizhgan se fasla dil ka

ilahi KHair ho kuchh aaj rang be-Dhab hai

Tapak raha hai kai din se aabla dil ka

chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar

shab-e-firaq mein tha tujh se mashghala dil ka

wo rind hun ki mujhe hathkaDi se bai'at hai

bala hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka

phira jo kucha-e-kakul se koi puchhenge

suna hai luT gaya raste mein qafila dil ka

umid-e-subh mein karta hun chaak daman-e-shab

junun mein roz nikala hai mashghala dil ka

wo zulm karte hain hum par to log kahte hain

KHuda bure se na Dale mu'amla dil ka

hazar fasl-e-gul aae junun wo josh kahan

gaya shabab ke hamrah walwala dil ka

KHuda ke hath hai apna ab ai 'qalaq' insaf

buton se hashr mein hoga muqabla dil ka

Source :
  • Mazhar-e-Ishq
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now