ab to apne pas hain kewal bichhDe yaron ki taswiren
ab to apne paas haiñ keval bichhḌe yāroñ kī tasvīreñ
ḳhālī dastar-ḳhvān pe jaise hoñ pakvānoñ kī tasvīreñ
majbūrī ke pinjre se maiñ tum ko jaate yuuñ taktā huuñ
jaise parinda dekh rahā ho uḌte parindoñ kī tasvīreñ
ek tasavvur aisā bhī hai ham tum saath meñ baiThe hoñ aur
apne bachche khīñch rahe hoñ phir ham donoñ kī tasvīreñ
aaj to aise bijlī chamkī bārish aa.ī khiḌkī bhīgī
jaise bādal khīñch rahā ho mere ashkoñ kī tasvīreñ
ik ik kar ke maiñ ne apne chehre gine jab tauba tauba
chhoTī sī dīvār ke uupar itne chehroñ kī tasvīreñ
kamre kī tasvīr gavāh hai dil meñ bhī tum hī rahte ho
varna ghar meñ kaun sajātā hai yuuñ ġhairoñ kī tasvīreñ
aa bhī jaao tasvīroñ se kab tak dil bahlā.eñ āḳhir
darvāzoñ se paar nahīñ kartīñ darvāzoñ kī tasvīreñ
ab to apne pas hain kewal bichhDe yaron ki taswiren
KHali dastar-KHwan pe jaise hon pakwanon ki taswiren
majburi ke pinjre se main tum ko jate yun takta hun
jaise parinda dekh raha ho uDte parindon ki taswiren
ek tasawwur aisa bhi hai hum tum sath mein baiThe hon aur
apne bachche khinch rahe hon phir hum donon ki taswiren
aaj to aise bijli chamki barish aai khiDki bhigi
jaise baadal khinch raha ho mere ashkon ki taswiren
ek ek kar ke main ne apne chehre gine jab tauba tauba
chhoTi si diwar ke upar itne chehron ki taswiren
kamre ki taswir gawah hai dil mein bhi tum hi rahte ho
warna ghar mein kaun sajata hai yun ghairon ki taswiren
aa bhi jao taswiron se kab tak dil bahlaen aaKHir
darwazon se par nahin kartin darwazon ki taswiren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.