Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha

Aslam Ansari

ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha

Aslam Ansari

ab aur chalne is dil meñ hausla na thā

ki shahr-e-shab meñ ujāle shā.iba na thā

maiñ us galī meñ gayā le ke zo.am-e-rusvā.ī

magar mujhe to vahāñ koī jāntā na thā

gudāz-e-jāñ se liyā maiñ ne phir ġhazal surāġh

ki ye charāġh to jaise kabhī bujhā na thā

koī pukāre kisī ko to ḳhud kho jaa.e

huā to hai magar aisā kabhī sunā na thā

kise kaheñ ki rifāqat daaġh hai dil par

bichhaḌne vaalā to khul kar kabhī milā na thā

musāfiroñ ko ka.ī vāhime satāte haiñ

Thaharte kyā ki darīchoñ meñ to diyā na thā

damak uThā thā vo chehra hayā chādar meñ

ki jaise jurm-e-vafā us mudda.ā na thā

hamāre haath faqat ret ke sadaf aa.e

ki sāhiloñ pe sitāra koī rahā na thā

ab aur chalne ka is dil mein hausla hi na tha

ki shahr-e-shab mein ujale ka shaiba hi na tha

main us gali mein gaya le ke zoam-e-ruswai

magar mujhe to wahan koi jaanta hi na tha

gudaz-e-jaan se liya main ne phir ghazal ka suragh

ki ye charagh to jaise kabhi bujha hi na tha

koi pukare kisi ko to KHud hi kho jae

hua to hai magar aisa kabhi suna hi na tha

kise kahen ki rifaqat ka dagh hai dil par

bichhaDne wala to khul kar kabhi mila hi na tha

musafiron ko kai wahime satate hain

Thaharte kya ki darichon mein to diya hi na tha

damak uTha tha wo chehra haya ki chadar mein

ki jaise jurm-e-wafa us ka muddaa hi na tha

hamare hath faqat ret ke sadaf aae

ki sahilon pe sitara koi raha hi na tha

Source :
  • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 437)
  • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
  • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
  • Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now