aawaz ke patthar jo kabhi ghar mein gire hain
āvāz ke patthar jo kabhī ghar meñ gire haiñ
aaseb ḳhamoshī ke 'sabā' chīḳh paḌe haiñ
pāzeb ke naġhmoñ kī vo rut biit chukī hai
ab sūkhe hue patte is āñgan meñ paḌe haiñ
chhup jaa.eñ kahīñ aa ki bahut tez hai bārish
ye mere tire jism to miTTī ke bane haiñ
is dil kī harī shāḳh pe jo phuul khile the
lamhoñ kī hathelī pe vo murjhā ke gire haiñ
is ghar meñ kise dete ho ab jā ke sadā.eñ
vo haare thake log to ab so bhī chuke haiñ
aawaz ke patthar jo kabhi ghar mein gire hain
aaseb KHamoshi ke 'saba' chiKH paDe hain
pazeb ke naghmon ki wo rut bit chuki hai
ab sukhe hue patte is aangan mein paDe hain
chhup jaen kahin aa ki bahut tez hai barish
ye mere tere jism to miTTi ke bane hain
is dil ki hari shaKH pe jo phul khile the
lamhon ki hatheli pe wo murjha ke gire hain
is ghar mein kise dete ho ab ja ke sadaen
wo haare thake log to ab so bhi chuke hain
- Book : sheerazah (Pg. 163)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.