aasmanon ke khule bab mein dekha jata
āsmānoñ ke khule baab meñ dekhā jaatā
maiñ kisī roz tire ḳhvāb meñ dekhā jaatā
ḳhaak huuñ uḌtā huuñ sach hai ki maiñ āvāra-mizāj
paanī hotā bhī to sailāb meñ dekhā jaatā
bad-shikan hai yuuñ sarāboñ meñ dikhā.ī denā
is se achchhā to thā girdāb meñ dekhā jaatā
ek ujāle ne mujhe jaltā huā dekh liyā
varna maiñ ab bhī usī taab meñ dekhā jaatā
mere dushman ne mujhe qatl kiyā chuum liyā
kaash aisā koī ahbāb meñ dekhā jaatā
aasmanon ke khule bab mein dekha jata
main kisi roz tere KHwab mein dekha jata
KHak hun uDta hun sach hai ki main aawara-mizaj
pani hota bhi to sailab mein dekha jata
bad-shikan hai yun sarabon mein dikhai dena
is se achchha to tha girdab mein dekha jata
ek ujale ne mujhe jalta hua dekh liya
warna main ab bhi usi tab mein dekha jata
mere dushman ne mujhe qatl kiya chum liya
kash aisa koi ahbab mein dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.