Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahin mila

Mustafa Zaidi

aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahin mila

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    āñdhī chalī to naqsh-e-kaf-e-pā nahīñ milā

    dil jis se mil gayā vo dobārā nahīñ milā

    ham anjuman meñ sab taraf dekhte rahe

    apnī tarah se koī akelā nahīñ milā

    āvāz ko to kaun samajhtā ki duur duur

    ḳhāmoshiyoñ dard-shanāsā nahīñ milā

    qadmoñ ko shauq-e-ābla-pā.e to mil gayā

    lekin ba-zarf-e-vus.at-e-sahrā nahīñ milā

    kan.āñ meñ bhī nasīb huī ḳhud-darīdgī

    chāk-e-qabā ko dast-e-zuleḳhā nahīñ milā

    mehr o vafā ke dasht-navardo javāb do

    tum ko bhī vo ġhazāl milā nahīñ milā

    kachche ghaḌe ne jiit naddī chaḌhī huī

    mazbūt kashtiyoñ ko kinārā nahīñ milā

    aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahin mila

    dil jis se mil gaya wo dobara nahin mila

    hum anjuman mein sab ki taraf dekhte rahe

    apni tarah se koi akela nahin mila

    aawaz ko to kaun samajhta ki dur dur

    KHamoshiyon ka dard-shanasa nahin mila

    qadmon ko shauq-e-abla-pae to mil gaya

    lekin ba-zarf-e-wusat-e-sahra nahin mila

    kanan mein bhi nasib hui KHud-daridgi

    chaak-e-qaba ko dast-e-zuleKHa nahin mila

    mehr o wafa ke dasht-nawardo jawab do

    tum ko bhi wo ghazal mila ya nahin mila

    kachche ghaDe ne jit li naddi chaDhi hui

    mazbut kashtiyon ko kinara nahin mila

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 201)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now