Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aayaa but-e-mai-KHaana aur ghar se liyaa mujh ko

Maulana Jalaluddin Rumi

aayaa but-e-mai-KHaana aur ghar se liyaa mujh ko

Maulana Jalaluddin Rumi

MORE BYMaulana Jalaluddin Rumi

    aayā but-e-mai-ḳhāna aur ghar se liyā mujh ko

    kar degā mujhe taaza dikhlā ke bahār-e-nau

    lahrā ke 'alam apnā pur kar ke kamāñ apnī

    rakkhā hai nishāne par rahzan ne mire mujh ko

    sau nukte uThātā hai sau jaal bichhātā hai

    sau mohre baḌhātā hai khā le vahīñ mujh ko

    us sarv saaya ban kar qad tavāf us ke

    go jaḌ se ukhāḌegā vo misl-e-shajar mujh ko

    phir aayā vo phir aayā vo 'umr-darāz aayā

    vo ḳhūbī-e-nāz aayā daaġh kare mujh ko

    vo jān-e-jahāñ aayā vo ganj-e-nihāñ aayā

    vo faḳhr-e-shahāñ aayā faash kare mujh ko

    yuuñ burj-e-hamal meñ hai shams-ul-haq-e-tabrezī

    fitrat ke shajar par vo puḳhta kare mujh ko

    aaya but-e-mai-KHana aur ghar se liya mujh ko

    kar dega mujhe taza dikhla ke bahaar-e-nau

    lahra ke 'alam apna pur kar ke kaman apni

    rakkha hai nishane par rahzan ne mere mujh ko

    sau nukte uThata hai sau jal bichhata hai

    sau mohre baDhata hai ta kha le wahin mujh ko

    us sarw ka saya ban kar qad ka tawaf us ke

    go jaD se ukhaDega wo misl-e-shajar mujh ko

    phir aaya wo phir aaya wo 'umr-daraaz aaya

    wo KHubi-e-naz aaya ta dagh kare mujh ko

    wo jaan-e-jahan aaya wo ganj-e-nihan aaya

    wo faKHr-e-shahan aaya ta fash kare mujh ko

    yun burj-e-hamal mein hai shams-ul-haq-e-tabrezi

    fitrat ke shajar par wo ta puKHta kare mujh ko

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now