Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taj-mahal

Hafiz Karnataki

taj-mahal

Hafiz Karnataki

MORE BYHafiz Karnataki

    hai kināre ye jamunā ke ik shāhkār

    dekhnā chāñdnī meñ tum is bahār

    yād-e-mumtāz meñ ye banāyā gayā

    sañg-e-marmar se is ko tarāshā gayā

    shāhjahāñ ne banāyā baḌe shauq se

    barsoñ is ko sajāyā baḌe shauq se

    haañ ye bhārat ke mahallāt taaj hai

    sab ke dil pe isī sadā raaj hai

    is kārī-garī hai baḌī be-misāl

    vāqa.ī hai zamāna meñ ye lā-zavāl

    ek shaffāf ā.īna samjhūñ na kyuuñ

    is ko nargis gul-dasta kyuuñ na kahūñ

    kyā miTā.egā naqsh is ke kaise koī

    taaj 'hāfiz'-jī kyuuñ kar banā.e koī

    hai kinare ye jamuna ke ek shahkar

    dekhna chandni mein tum is ki bahaar

    yaad-e-mumtaz mein ye banaya gaya

    sang-e-marmar se is ko tarasha gaya

    shahjahan ne banaya baDe shauq se

    barson is ko sajaya baDe shauq se

    han ye bhaarat ke mahallat ka taj hai

    sab ke dil pe isi ka sada raj hai

    is ki kari-gari hai baDi be-misal

    waqai hai zamana mein ye la-zawal

    ek shaffaf aaina samjhun na kyun

    is ko nargis ka gul-dasta kyun na kahun

    kya miTaega naqsh is ke kaise koi

    taj 'hafiz'-ji kyun kar banae koi

    Source :
    • Book : Zamzame (Pg. 51)
    • Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
    • Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
    • Edition : 2005

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now