rikshe wala
dekho ġharīb kitnī zahmat uThā rahā hai
galiyoñ meñ bhiiḌ vaalī rickshaw chalā rahā hai
mahrūm hai agarche duniyā kī ne.amatoñ se
har bojh zindagī kā hañs kar uThā rahā hai
barsāt meñ bhī dekho phirtā huā saḌak par
rickshaw bhī bhīgtā hai ḳhud bhī nahā rahā hai
garmī kī dhuup meñ bhī ruktā nahīñ hai ghar meñ
pur-pech rāstoñ ke phere lagā rahā hai
sardī se kāñptā hai kapḌe phaTe hue haiñ
ThanDī havā se ḳhud ko kaise bachā rahā hai
mastī meñ dauḌtā hai rickshaw liye saḌak par
naġhma koī surīlā ab gungunā rahā hai
rikshe ke pedaloñ par rakhe haiñ paañv donoñ
āñkheñ haiñ rāste par ghanTī bajā rahā hai
maañ baap muntazir haiñ ghar par sabhī ke 'ādil'
bachchoñ ko ab vo lene schōl jā rahā hai
dekho gharib kitni zahmat uTha raha hai
galiyon mein bhiD wali rickshaw chala raha hai
mahrum hai agarche duniya ki neamaton se
har bojh zindagi ka hans kar uTha raha hai
barsat mein bhi dekho phirta hua saDak par
rickshaw bhi bhigta hai KHud bhi naha raha hai
garmi ki dhup mein bhi rukta nahin hai ghar mein
pur-pech raston ke phere laga raha hai
sardi se kanpta hai kapDe phaTe hue hain
ThanDi hawa se KHud ko kaise bacha raha hai
masti mein dauDta hai rickshaw liye saDak par
naghma koi surila ab gunguna raha hai
rikshe ke pedalon par rakhe hain panw donon
aankhen hain raste par ghanTi baja raha hai
man bap muntazir hain ghar par sabhi ke 'adil'
bachchon ko ab wo lene school ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.