Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jugnu aur bachcha

Seemab Akbarabadi

jugnu aur bachcha

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    jugnū

    idhar aao ai mere nādān bachche

    karūñgā maiñ do chaar bāteñ tumhīñ se

    ho masrūf kyuuñ khelne meñ tum aise

    suno to sahī kuchh paḌho ghar pe ke

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    bachcha

    maiñ abbā jaanī maiñ amaañ pyārā

    nahīñ ranj merā kisī ko gavārā

    na jā.ūñgā paḌhne ye hai kyā ishārā

    maiñ khelūñgā terā nahīñ kuchh ijārā

    chamakdār kiiḌe mujhe khelne de

    jugnū

    ye pur-nūr chehra ye āñkheñ munavvar

    ye gorā badan aur kapḌe mo.attar

    laḌakpan ke din haiñ magar yuuñ na haT kar

    nasīhat se merī huā kyuuñ mukaddar

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    bachcha

    paḌī hai abhī umr paḌh lūñgā jugnū

    ki paḌhne pe har vaqt hai merā qaabū

    maiñ kyuuñ jā.ūñ paḌhne maiñ khelūñgā har

    kahīñ aur be-par kar uḌā

    chamakdār kiiḌe mujhe khelne de

    jugnū

    nahīñ pyāre bachche nahīñ khel achchhā

    ki paḌhne hai ik yahī to zamāna

    agar ibtidā se rahā shauq is

    to aa jā.egā phir bahut jald paḌhnā

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    bachcha

    pakaḌ lūñgā tujh ko jo ab ne chheḌā

    aayā baḌā ilm vaalā kahīñ

    maiñ khelūñgā khelūñgā khelūñgā har

    mujhe khel se roktā hai parinda

    chamakdār kiiḌe mujhe khelne de

    jugnū

    na jā.ūñgā hargiz maiñ uḌ kar yahāñ se

    karoge na iqrār jab tak zabāñ se

    nasīhat ko aa.egā koī kahāñ se

    farishte na utreñge ab āsmāñ se

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    bachcha

    yahāñ aa ke kin āfatoñ meñ phañsā maiñ

    tire lecture meñ huā mubtalā maiñ

    kahīñ aur khā.ūñgā ab havā maiñ

    jaatā nahīñ to na le chalā maiñ

    chamakdār kiiḌe mujhe khelne de

    jugnū

    maiñ tere liye go ik aafat na.ī huuñ

    magar vāqa.ī rahmat allāh huuñ

    jahāñ meñ tirā rahnumā har ghaḌī huuñ

    maiñ jugnū nahīñ ilm raushnī huuñ

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    tujhe ek din hai chamaknā zamīñ par

    hañsī mujh ko aatī hai terī nahīñ par

    nazar hai mirī tere rū-e-hasīñ par

    maiñ chamkūñgā ik roz terī jabīñ par

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    abhī se agar likhegā paḌhegā

    to duniyā meñ parvān jaldī chaḌhegā

    ye kab tak yūñhī geḌiyāñ gaḌhegā

    baḌhā.egā himmat to aage baḌhegā

    nahīñ pyāre bachche ye din khelne ke

    bachcha

    jo ilm raushnī hai to aa

    mire dil meñ mere jigar meñ samā

    mujhe paḌhne likhne shaidā banā

    agar aur kuchh hai to haT chalā

    chamakdār kiiḌe mujhe khelne de

    jugnu

    idhar aao ai mere nadan bachche

    karunga main do chaar baaten tumhin se

    ho masruf kyun khelne mein tum aise

    suno to sahi kuchh paDho ghar pe ja ke

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    bachcha

    main abba ka jaani main aman ka pyara

    nahin ranj mera kisi ko gawara

    na jaunga paDhne ye hai kya ishaara

    main khelunga tera nahin kuchh ijara

    chamakdar kiDe mujhe khelne de

    jugnu

    ye pur-nur chehra ye aankhen munawwar

    ye gora badan aur kapDe moattar

    laDakpan ke din hain magar yun na haT kar

    nasihat se meri hua kyun mukaddar

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    bachcha

    paDi hai abhi umr paDh lunga jugnu

    ki paDhne pe har waqt hai mera qabu

    main kyun jaun paDhne main khelunga har su

    kahin aur be-par ki ja kar uDa tu

    chamakdar kiDe mujhe khelne de

    jugnu

    nahin pyare bachche nahin khel achchha

    ki paDhne ka hai ek yahi to zamana

    agar ibtida se raha shauq is ka

    to aa jaega phir bahut jald paDhna

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    bachcha

    pakaD lunga tujh ko jo ab tu ne chheDa

    tu aaya baDa ilm wala kahin ka

    main khelunga khelunga khelunga har ja

    mujhe khel se rokta hai parinda

    chamakdar kiDe mujhe khelne de

    jugnu

    na jaunga hargiz main uD kar yahan se

    karoge na iqrar jab tak zaban se

    nasihat ko aaega koi kahan se

    farishte na utrenge ab aasman se

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    bachcha

    yahan aa ke kin aafaton mein phansa main

    tere lecture mein hua mubtala main

    kahin aur hi khaunga ab hawa main

    tu jata nahin to na ja le chala main

    chamakdar kiDe mujhe khelne de

    jugnu

    main tere liye go ek aafat nai hun

    magar waqai rahmat allah ki hun

    jahan mein tera rahnuma har ghaDi hun

    main jugnu nahin ilm ki raushni hun

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    tujhe ek din hai chamakna zamin par

    hansi mujh ko aati hai teri nahin par

    nazar hai meri tere ru-e-hasin par

    main chamkunga ek roz teri jabin par

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    abhi se agar tu likhega paDhega

    to duniya mein parwan jaldi chaDhega

    ye kab tak yunhi geDiyan tu gaDhega

    baDhaega himmat to aage baDhega

    nahin pyare bachche ye din khelne ke

    bachcha

    jo tu ilm ki raushni hai to aa ja

    mere dil mein mere jigar mein sama ja

    mujhe paDhne likhne ka shaida bana ja

    agar aur kuchh hai to haT ja chala ja

    chamakdar kiDe mujhe khelne de

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now