Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is dharti ke tare hum hain

Bismillah Adeem

is dharti ke tare hum hain

Bismillah Adeem

MORE BYBismillah Adeem

    ye ma.azūr bekas ġhabī zehnī bachche

    haiñ insāñ nahīñ koī maaTī ke putle

    zabāñ se haiñ gūñge samā.at se aarī

    banāo na in ko saḌak ke bhikārī

    haiñ pur-pech-tar in hastī ke raste

    ki pur-soz jaise hoñ bansī ke naġhme

    sarāpe ko un ke na be-kār kahnā

    ye haiñ zindagī hasīñ ek gahnā

    kabhī ye hañsā.eñ kabhī ruuTh jaa.eñ

    diloñ se ġhamoñ lakīreñ miTā.eñ

    ye naT-khaT haTīle bahut chulbule haiñ

    adāoñ meñ in ajab valvale haiñ

    kaTī uñgliyāñ haiñ musavvir baneñge

    apāhij sahī phir bhī tājir baneñge

    mohabbat sīnoñ meñ jazba jagāo

    samājī farīze ko apne nibhāo

    ye ik farz aisā ki rāhat hai is meñ

    chhupī ibn-e-ādam azmat hai is meñ

    inheñ ġhaur se tum ghaḌī bhar jo dekho

    mashiyyat hai qudrat kuchh is ko samjho

    sulūk un se rakkho mohabbat vafā

    sila pāoge tum bhī be-shak jazā

    inheñ bhuul kar na kabhī duur rakhnā

    'adīm' in sitāroñ ko māmūr rakhnā

    ye mazur bekas ghabi zehni bachche

    hain insan nahin koi maTi ke putle

    zaban se hain gunge samaat se aari

    banao na in ko saDak ke bhikari

    hain pur-pech-tar in ki hasti ke raste

    ki pur-soz jaise hon bansi ke naghme

    sarape ko un ke na be-kar kahna

    ye hain zindagi ka hasin ek gahna

    kabhi ye hansaen kabhi ruTh jaen

    dilon se ghamon ki lakiren miTaen

    ye naT-khaT haTile bahut chulbule hain

    adaon mein in ki ajab walwale hain

    kaTi ungliyan hain musawwir banenge

    apahij sahi phir bhi tajir banenge

    mohabbat ka sinon mein jazba jagao

    samaji farize ko apne nibhao

    ye ek farz aisa ki rahat hai is mein

    chhupi ibn-e-adam ki azmat hai is mein

    inhen ghaur se tum ghaDi bhar jo dekho

    mashiyyat hai qudrat ki kuchh is ko samjho

    suluk un se rakkho mohabbat wafa ka

    sila paoge tum bhi be-shak jaza ka

    inhen bhul kar na kabhi dur rakhna

    'adim' in sitaron ko mamur rakhna

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now