Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaina-dar-aina

Himayat Ali Shayar

aaina-dar-aina

Himayat Ali Shayar

MORE BYHimayat Ali Shayar

    is baar vo milā to ajab us rañg thā

    alfāz meñ tarañg na lahja dabañg thā

    ik soch thī ki bikhrī huī ḳhāl-o-ḳhat meñ thī

    ik dard thā ki jis shahīd añg añg thā

    ik aag thī ki raakh meñ poshīda thī kahīñ

    ik jism thā ki ruuh se masrūf-e-jañg thā

    maiñ ne kahā ki yaar tumheñ kyā huā hai ye

    us ne kahā ki umr-e-ravāñ atā hai ye

    maiñ ne kahā ki umr-e-ravāñ to sabhī hai

    us ne kahā ki fikr-o-nazar sazā hai ye

    maiñ ne kahā ki sochtā rahtā to maiñ bhī huuñ

    us ne kahā ki ā.īna rakkhā huā hai

    dekhā to merā apnā aks-e-jalī thā vo

    vo shaḳhs maiñ thā aur 'himāyat-alī' thā vo

    is bar wo mila to ajab us ka rang tha

    alfaz mein tarang na lahja dabang tha

    ek soch thi ki bikhri hui KHal-o-KHat mein thi

    ek dard tha ki jis ka shahid ang ang tha

    ek aag thi ki rakh mein poshida thi kahin

    ek jism tha ki ruh se masruf-e-jang tha

    main ne kaha ki yar tumhein kya hua hai ye

    us ne kaha ki umr-e-rawan ki ata hai ye

    main ne kaha ki umr-e-rawan to sabhi ki hai

    us ne kaha ki fikr-o-nazar ki saza hai ye

    main ne kaha ki sochta rahta to main bhi hun

    us ne kaha ki aaina rakkha hua hai

    dekha to mera apna hi aks-e-jali tha wo

    wo shaKHs main tha aur 'himayat-ali' tha wo

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Himayat Ali Shayar

    Himayat Ali Shayar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now