Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taj-mahal

Sahir Ludhianvi

taj-mahal

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    Interesting Fact

    Film: Ghazal 1964

    taaj tere liye ik maz.har-e-ulfat sahī

    tujh ko is vādi-e-rañgīñ se aqīdat sahī

    merī mahbūb kahīñ aur milā kar mujh se

    bazm-e-shāhī meñ ġharīboñ guzar kyā ma.anī

    sabt jis raah meñ hoñ satvat-e-shāhī ke nishāñ

    us pe ulfat bharī rūhoñ safar kyā ma.anī

    merī mahbūb pas-e-parda-e-tash.hīr-e-vafā

    ne satvat ke nishānoñ ko to dekhā hotā

    murda-shāhoñ ke maqābir se bahalne vaalī

    apne tārīk makānoñ ko to dekhā hotā

    an-ginat logoñ ne duniyā meñ mohabbat hai

    kaun kahtā hai ki sādiq na the jazbe un ke

    lekin un ke liye tash.hīr sāmān nahīñ

    kyūñki vo log bhī apnī tarah muflis the

    ye imārāt o maqābir ye fasīleñ ye hisār

    mutlaq-ul-hukm shahanshāhoñ azmat ke sutūñ

    sīna-e-dahr ke nāsūr haiñ kohna nāsūr

    jazb hai un meñ tire aur mire ajdād ḳhuuñ

    merī mahbūb unheñ bhī to mohabbat hogī

    jin sannā.ī ne baḳhshī hai use shakl-e-jamīl

    un ke pyāroñ ke maqābir rahe benām-o-numūd

    aaj tak un pe jalā.ī na kisī ne qindīl

    ye chaman-zār ye jamunā kināra ye mahal

    ye munaqqash dar o dīvār ye mehrāb ye taaq

    ik shahanshāh ne daulat sahārā le kar

    ham ġharīboñ mohabbat uḌāyā hai mazāq

    merī mahbūb kahīñ aur milā kar mujh se

    taj tere liye ek mazhar-e-ulfat hi sahi

    tujh ko is wadi-e-rangin se aqidat hi sahi

    meri mahbub kahin aur mila kar mujh se

    bazm-e-shahi mein gharibon ka guzar kya mani

    sabt jis rah mein hon satwat-e-shahi ke nishan

    us pe ulfat bhari ruhon ka safar kya mani

    meri mahbub pas-e-parda-e-tashhir-e-wafa

    tu ne satwat ke nishanon ko to dekha hota

    murda-shahon ke maqabir se bahalne wali

    apne tarik makanon ko to dekha hota

    an-ginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai

    kaun kahta hai ki sadiq na the jazbe un ke

    lekin un ke liye tashhir ka saman nahin

    kyunki wo log bhi apni hi tarah muflis the

    ye imaraat o maqabir ye fasilen ye hisar

    mutlaq-ul-hukm shahanshahon ki azmat ke sutun

    sina-e-dahr ke nasur hain kohna nasur

    jazb hai un mein tere aur mere ajdad ka KHun

    meri mahbub unhen bhi to mohabbat hogi

    jin ki sannai ne baKHshi hai use shakl-e-jamil

    un ke pyaron ke maqabir rahe benam-o-numud

    aaj tak un pe jalai na kisi ne qindil

    ye chaman-zar ye jamuna ka kinara ye mahal

    ye munaqqash dar o diwar ye mehrab ye taq

    ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar

    hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq

    meri mahbub kahin aur mila kar mujh se

    RECITATIONS

    Hamida Bano

    Hamida Bano,

    Hamida Chopra

    Hamida Chopra,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Hamida Chopra

    Hamida Chopra,

    Hamida Bano

    taj-mahal Hamida Bano

    Hamida Chopra

    taaj-mahal Hamida Chopra

    Nomaan Shauque

    Taj Mahal - Sahir Ludhianvi Nomaan Shauque

    Hamida Chopra

    taaj-mahal Hamida Chopra

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now