Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi

aa dhamke aish o tarab kyā kyā jab husn dikhāyā holī ne

har aan ḳhushī dhuum huī yuuñ lutf jatāyā holī ne

har ḳhātir ko ḳhursand kiyā har dil ko lubhāyā holī ne

daf rañgīñ naqsh sunahrī jis vaqt bajāyā holī ne

bāzār galī aur kūchoñ meñ ġhul-shor machāyā holī ne

svāñg kahūñ rañg kahūñ husn batā.ūñ holī

sab abran tan par jhamak rahā aur kesar māthe Tiikā

hañs denā har-dam nāz-bharā dikhlānā saj-dhaj shoḳhī

har gālī, misrī, qand-bharī, har ek qadam aTkhelī

dil shaad kiyā aur moh liyā ye, jauban paayā holī ne

kuchh table khaTke taal baje kuchh Dholak aur murdañg bajī

kuchh jhaḌpeñ biin rabāboñ kuchh sārañgī aur chañg bajī

kuchh taar tambūroñ ke jhañke kuchh DhamDhī aur muñh-chañg bajī

kuchh ghuñgrū khaTke jham-jham-jham kuchh gat gat par āhañg bajī

hai har dam nāchne gaane ye taar bañdhāyā holī ne

har jāgah thaal gulāloñ se, ḳhush-rañgat gul-kārī hai

aur Dher abīroñ ke lāge, so ishrat tayyārī hai

haiñ raag bahāreñ dikhlāte aur rañg-bharī pichkārī hai

muñh surḳhī se gulnār hue tan kesar kyārī hai

ye ruup jhamaktā dikhlāyā ye rañg dikhāyā holī ne

har aan ḳhushī se aapas meñ sab hañs hañs rañg chhiḌakte haiñ

ruḳhsār gulāloñ se gul-gūñ, kapḌoñ se rañg Tapakte haiñ

kuchh raag aur rañg jhamakte haiñ kuchh mai ke jaam chhalakte haiñ

kuchh kuude haiñ, kuchh uchhle haiñ, kuchh hañste haiñ, kuchh bikte haiñ

ye taur ye naqshā ishrat har aan banāyā holī ne

aa dhamke aish o tarab kya kya jab husn dikhaya holi ne

har aan KHushi ki dhum hui yun lutf jataya holi ne

har KHatir ko KHursand kiya har dil ko lubhaya holi ne

daf rangin naqsh sunahri ka jis waqt bajaya holi ne

bazar gali aur kuchon mein ghul-shor machaya holi ne

ya swang kahun ya rang kahun ya husn bataun holi ka

sab abran tan par jhamak raha aur kesar ka mathe Tika

hans dena har-dam naz-bhara dikhlana saj-dhaj shoKHi ka

har gali, misri, qand-bhari, har ek qadam aTkheli ka

dil shad kiya aur moh liya ye, jauban paya holi ne

kuchh table khaTke tal baje kuchh Dholak aur murdang baji

kuchh jhaDpen bin rababon ki kuchh sarangi aur chang baji

kuchh tar tamburon ke jhanke kuchh DhamDhi aur munh-chang baji

kuchh ghungru khaTke jham-jham-jham kuchh gat gat par aahang baji

hai har dam nachne gane ka ye tar bandhaya holi ne

har jagah thaal gulalon se, KHush-rangat ki gul-kari hai

aur Dher abiron ke lage, so ishrat ki tayyari hai

hain rag bahaaren dikhlate aur rang-bhari pichkari hai

munh surKHi se gulnar hue tan kesar ki si kyari hai

ye rup jhamakta dikhlaya ye rang dikhaya holi ne

har aan KHushi se aapas mein sab hans hans rang chhiDakte hain

ruKHsar gulalon se gul-gun, kapDon se rang Tapakte hain

kuchh rag aur rang jhamakte hain kuchh mai ke jam chhalakte hain

kuchh kude hain, kuchh uchhle hain, kuchh hanste hain, kuchh bikte hain

ye taur ye naqsha ishrat ka har aan banaya holi ne

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Source :
  • Book : intekhab naziir akbaraabaadii (Pg. 38)
  • Publication : rashid hasan (2011)
  • Edition : 2011

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now