Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-id

MORE BYMaster Basit Biswani

    rang-e-chaman banā hai garebān-e-sub.h-e-īd

    dāmān-e-gul se kam nahīñ dāmān-e-sub.h-e-īd

    kyā shai hai kyā kahūñ ruḳh-e-ḳhandān-e-sub.h-e-īd

    goyā bahār par hai gulistān-e-sub.h-e-īd

    bhūlā na rāt-bhar mujhe 'ālam hilāl

    us zuhūr shaam thā e'lān-e-sub.h-e-īd

    dushman hoñ ki dost gale aaj sab mileñ

    jaarī huā ye dahr meñ farmān sub.h-e-īd

    kaaTī hai intizār meñ maiñ ne tamām raat

    pesh-e-nazar thā shaam se sāmān-e-sub.h-e-īd

    har shai se kyoñ na rahmat-e-haq zuhūr ho

    ye shān-e-sub.h-e-īd ye sāmān-e-sub.h-e-īd

    hāsil huā hai aaj mujhe imbisāt-e-rūh

    sau jaan se hai dil mirā qurbān-e-sub.h-e-īd

    sar ḳhud-baḳhud jhukā mirā sajde ke vāste

    vallāh mere sar hai ye ehsān-e-sub.h-e-īd

    tār-e-shuā-e-mehr haiñ satreñ bayāz

    surḳhī shafaq saaf hai 'unvān-e-sub.h-e-īd

    baḳhshish ḳhudā aaj hai har roza-dār par

    mā'mūr ne'matoñ se huā ḳhvān-e-sub.h-e-īd

    kyā dil-fareb is haiñ rangīñ-adā.iyāñ

    phūloñ se hai bharā huā dāmān-e-sub.h-e-īd

    haañ lūTnā hai aaj ise daulat-e-visāl

    'bāsit' hai kis adā se sanā-ḳhvān-e-sub.h-e-īd

    rang-e-chaman bana hai gareban-e-subh-e-id

    daman-e-gul se kam nahin daman-e-subh-e-id

    kya shai hai kya kahun ruKH-e-KHandan-e-subh-e-id

    goya bahaar par hai gulistan-e-subh-e-id

    bhula na raat-bhar mujhe 'alam hilal ka

    us ka zuhur sham tha e'lan-e-subh-e-id

    dushman hon ya ki dost gale aaj sab milen

    jari hua ye dahr mein farman subh-e-id

    kaTi hai intizar mein main ne tamam raat

    pesh-e-nazar tha sham se saman-e-subh-e-id

    har shai se kyon na rahmat-e-haq ka zuhur ho

    ye shan-e-subh-e-id ye saman-e-subh-e-id

    hasil hua hai aaj mujhe imbisat-e-ruh

    sau jaan se hai dil mera qurban-e-subh-e-id

    sar KHud-baKHud jhuka mera sajde ke waste

    wallah mere sar hai ye ehsan-e-subh-e-id

    tar-e-shua-e-mehr hain satren bayaz ki

    surKHi shafaq ki saf hai 'unwan-e-subh-e-id

    baKHshish KHuda ki aaj hai har roza-dar par

    ma'mur ne'maton se hua KHwan-e-subh-e-id

    kya dil-fareb is ki hain rangin-adaiyan

    phulon se hai bhara hua daman-e-subh-e-id

    han luTna hai aaj ise daulat-e-visal

    'basit' hai kis ada se sana-KHwan-e-subh-e-id

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now