Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

alwida

Interesting Fact

read out with a heavy heart in his farewell speech at the school

laḌakpan rafīq ai ham-navā-e-naġhma-e-tiflī

hamārī gyārah saala zindagī dil-nashīñ vaadī

hamāre zehn taḳh.īl ehsās sāthī

hamāre zauq rahbar hamārī aql haadī

hamāre dāman-e-afkār par terā saayā hai

ḳhushā schōl ki ham ne tujhī se faiz paayā hai

hamārī dhaḌkaneñ tere bām-o-dar meñ pinhāñ haiñ

tire māhaul meñ ham sab ke mahsūsāt ġhaltāñ haiñ

hamārī ārzueñ tere dālānoñ meñ raqsāñ haiñ

nuqūsh-e-ahd-e-rafta tere māthe par numāyāñ haiñ

hamāre vāste ek lāfānī masarrat hai

hameñ schōl tere zarre zarre se mohabbat hai

tire āġhosh meñ bachpan ke ham ne din bitā.e haiñ

tire āñgan meñ kitnā ro.e kitnā muskurā.e haiñ

yahāñ masrūr āñkhoñ meñ na.e armāñ jagā.e haiñ

yahāñ ma.asūm hoñToñ se tarāne ham ne gaa.e haiñ

tire saa.e meñ bachpan suhānī yādgāreñ haiñ

hamāre ahd-e-gum-gashta ke lamhoñ qatāreñ haiñ

yahāñ se dostī kitnī tāmīreñ uThā.ī haiñ

rafāqat hayāt-afroz duniyā.eñ basā.ī haiñ

yahāñ par shoḳhiyoñ be-karāñ maujeñ bahā.īñ haiñ

yahāñ bazmeñ sajā.ī haiñ yahāñ dhūmeñ machā.ī haiñ

tire pahlū meñ kitnī anokhī vārdāteñ haiñ

tire hoñToñ pe kitnī tabassum-rez bāteñ haiñ

tire dāman se ham ne qīmtī lamhāt paa.e haiñ

ḳhulūs-o-unsiyat ke be-bahā jazbāt paa.e haiñ

tire sāġhar se ham ne faiz ke jur.āt paa.e haiñ

hamārī fikr ne tujh se rujhānāt paa.e haiñ

tujhe kar jo paayā hai use ham kho nahīñ sakte

tire haiñ tere apne haiñ parā.e ho nahīñ sakte

na.e sāzoñ pe jab tere tarāne gaa.e jā.eñge

na.e ġhunche tire gulzār meñ jab muskurā.eñge

na.ī kirnoñ se jab tere darīche jagmagā.eñge

na.e armān jab tujh meñ na.ī jannat basā.eñge

na.e sāthī tire āñgan meñ jab dhūmeñ machā.eñge

to shāyad ham bhī ai schōl tujh ko yaad ā.eñge

ye maanā zindagī ham ko bahut masrūf kar degī

hamāre zehn ko duniyā ke andāzoñ se bhar degī

hazāroñ mas.aloñ par dāvat-e-fikr-o-nazar degī

ki jab thoḌī mohlat gardish-e-shām-o-sahar degī

ġham-e-daurāñ se jab bhī fursat-e-yak-lamha pā.eñge

tirī yādoñ meñ kho jā.eñge ḳhud ko bhuul jā.eñge

laDakpan ki rafiq ai ham-nawa-e-naghma-e-tifli

hamari gyarah sala zindagi ki dil-nashin wadi

hamare zehn ki taKHil ki ehsas ki sathi

hamare zauq ki rahbar hamari aql ki hadi

hamare daman-e-afkar par tera hi saya hai

KHusha school ki hum ne tujhi se faiz paya hai

hamari dhaDkanen tere hi baam-o-dar mein pinhan hain

tere mahaul mein hum sab ke mahsusat ghaltan hain

hamari aarzuen tere dalanon mein raqsan hain

nuqush-e-ahd-e-rafta tere mathe par numayan hain

hamare waste tu ek lafani masarrat hai

hamein school tere zarre zarre se mohabbat hai

tere aaghosh mein bachpan ke hum ne din bitae hain

tere aangan mein kitna roe kitna muskurae hain

yahan masrur aankhon mein nae arman jagae hain

yahan masum honTon se tarane hum ne gae hain

tere sae mein bachpan ki suhani yaadgaren hain

hamare ahd-e-gum-gashta ke lamhon ki qataren hain

yahan se dosti ki kitni tamiren uThai hain

rafaqat ki hayat-afroz duniyaen basai hain

yahan par shoKHiyon ki be-karan maujen bahain hain

yahan bazmen sajai hain yahan dhumen machai hain

tere pahlu mein kitni hi anokhi wardaten hain

tere honTon pe kitni hi tabassum-rez baaten hain

tere daman se hum ne qimti lamhat pae hain

KHulus-o-unsiyat ke be-baha jazbaat pae hain

tere saghar se hum ne faiz ke juraat pae hain

hamari fikr ne tujh hi se rujhanat pae hain

tujhe pa kar jo paya hai use hum kho nahin sakte

tere hain tere apne hain parae ho nahin sakte

nae sazon pe jab tere tarane gae jaenge

nae ghunche tere gulzar mein jab muskuraenge

nai kirnon se jab tere dariche jagmagaenge

nae arman jab tujh mein nai jannat basaenge

nae sathi tere aangan mein jab dhumen machaenge

to shayad hum bhi ai school tujh ko yaad aaenge

ye mana zindagi hum ko bahut masruf kar degi

hamare zehn ko duniya ke andazon se bhar degi

hazaron masalon par dawat-e-fikr-o-nazar degi

ki jab thoDi si mohlat gardish-e-sham-o-sahar degi

gham-e-dauran se jab bhi fursat-e-yak-lamha paenge

teri yaadon mein kho jaenge KHud ko bhul jaenge

Source :
  • Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 183)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now