Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sultan aKHtar paTna ke nam (jadid amali tanqid)

Raza Naqvi Vahi

sultan aKHtar paTna ke nam (jadid amali tanqid)

Raza Naqvi Vahi

sultān aḳhtar aap jo ġhā.eb haiñ āj-kal

rahmāniya nashīnoñ shām-o-sahar hai Dal

jab se qalam ko taj ke sambhālī hai rifle

ālām-e-bevgī meñ paḌī hai na.ī ġhazal

yaksar udaas rahte haiñ kul intellectual

nazr-e-shikār ho ga.ī un chahal-pahal

albatta ik zarā huī thī uthal-puthal

muddat ke baa'd TuuTā thā jumūd kal

do naujavān sahn meñ is chā.e-gāh ke

bāham digar the bahs meñ masrūf be-ḳhalal

thā un meñ ek chūza qad-o-munhanī badan

qāmat meñ dūsrā thā shuturmurġh se double

ye bahs thī ki kaun hai in meñ jadīd-tar

donoñ meñ kis hotī hai tahrīr mubtazal

donoñ meñ kaun kis se ziyāda hai be-tukā

kahtā hai kaun kis se zaTal khurdurī ġhazal

in meñ jo manhanī thā vo bolā ba-sad ġhurūr

sun lo ki maiñ huuñ tum se baḌā intellectual

merī kahāniyoñ meñ ma.aqūl rang hai

maflūj jin ke sāmne hai fahm amal

tarsīl-e-nā-rasā sanad mere paas hai

mujh ko sarāhtā hai mujāhid miyāñ dil

ye lan-tarāniyāñ na huiiñ dūsre se hazm

hoñT is ke kāñpne lage aayā jabīñ pe bal

chīḳhā vo aa ke taish maiñ terī bisāt kyā

to aur jadīdiyat meñ bane merā rival

likhtā huuñ aise aise makātīb be-tuke

kolhū bail bhī mirā chelā hai āj-kal

islāh kalām pe ḳhud tere bārhā

ma.anī se lafz lafz se ma.anī diye badal

in sab ke bāvajūd akaḌtā hai mujh se

kyā daf.atan dimāġh meñ aayā tire ḳhalal

ab manhanī adiib ko bhī aa gayā jalāl

kahne lagā ki zarf se apne na yuuñ ubal

imlā durust hai na talaffuz tirā durust

tahrīr ho kalām ho har chiiz hai zaTal

islāh degā ḳhaak vo mere kalām par

jo naql ko naqal kahe aur asl ko asal

ye baat dūsre ko lagī saḳht nāgavār

aur vo chalā ke haath ye bolā ki le sambhal

phir to evaz zabān ke hāthoñ ke bol se

us ne shurūa kar diyā tanqīd amal

ba.ad us ke donoñ guth ga.e ek dūsre ke saath

rahmāniya ke sahn meñ hone lagā Dual

kamzor dekhne meñ thā manhanī javān

jhapTā darāz-qad pe jo pahlū badal badal

yaarā mudāfa.at na baaqī rahā use

do Thokaroñ meñ gir paḌā be-chāra muñh ke bal

chīte tarah jast lagā kar harīf par

zaa.e.a kiye baġhair koī lamha koī pal

pusht-e-darāz-qad pe vo jhaT ho gayā savār

aur us ke saare jism ko karne lagā kharal

ik bhiiḌ jam.a ho ga.ī donoñ ke ird-gard

paidā huā na un ke amal meñ magar ḳhalal

dekhā tamām logoñ ne ik lutf-e-ḳhās se

iz.hār-e-zāt vo tamāshā-e-be-badal

jab donoñ thak ke chuur hue ḳhud haT ga.e

chehra kisī surḳh thā baazū kisī shal

is vāqiye ko sun ke kareñ aap faisla

un meñ thā kaun kis se baḌā intellectual

sultan aKHtar aap jo ghaeb hain aaj-kal

rahmaniya nashinon ki sham-o-sahar hai Dal

jab se qalam ko taj ke sambhaali hai rifle

aalam-e-bewgi mein paDi hai nai ghazal

yaksar udas rahte hain kul intellectual

nazr-e-shikar ho gai un ki chahal-pahal

albatta ek zara si hui thi uthal-puthal

muddat ke ba'd TuTa tha na ka jumud kal

do naujawan sahn mein is chae-gah ke

baham digar the bahs mein masruf be-KHalal

tha un mein ek chuza qad-o-munhani badan

qamat mein dusra tha shuturmurgh se double

ye bahs thi ki kaun hai in mein jadid-tar

donon mein kis ki hoti hai tahrir mubtazal

donon mein kaun kis se ziyaada hai be-tuka

kahta hai kaun kis se zaTal khurduri ghazal

in mein jo manhani tha wo bola ba-sad ghurur

sun lo ki main hun tum se baDa intellectual

meri kahaniyon mein maqul ka rang hai

mafluj jin ke samne hai fahm ka amal

tarsil-e-na-rasa ki sanad mere pas hai

mujh ko sarahta hai mujahid miyan ka dil

ye lan-taraniyan na huin dusre se hazm

honT is ke kanpne lage aaya jabin pe bal

chiKHa wo aa ke taish main teri bisat kya

to aur jadidiyat mein bane mera riwal

likhta hun aise aise makatib be-tuke

kolhu ka bail bhi mera chela hai aaj-kal

islah di kalam pe KHud tere barha

mani se lafz lafz se mani diye badal

in sab ke bawajud akaDta hai mujh se tu

kya dafatan dimagh mein aaya tere KHalal

ab manhani adib ko bhi aa gaya jalal

kahne laga ki zarf se apne na yun ubal

imla durust hai na talaffuz tera durust

tahrir ho kalam ho har chiz hai zaTal

islah dega KHak wo mere kalam par

jo naql ko naqal kahe aur asl ko asal

ye baat dusre ko lagi saKHt nagawar

aur wo chala ke hath ye bola ki le sambhal

phir to ewaz zaban ke hathon ke bol se

us ne shurua kar diya tanqid ka amal

baad us ke donon guth gae ek dusre ke sath

rahmaniya ke sahn mein hone laga Dual

kamzor dekhne hi mein tha manhani jawan

jhapTa daraaz-qad pe jo pahlu badal badal

yara mudafat ka na baqi raha use

do Thokaron mein gir paDa be-chaara munh ke bal

chite ki tarah jast laga kar harif par

zaea kiye baghair koi lamha koi pal

pusht-e-daraaz-qad pe wo jhaT ho gaya sawar

aur us ke sare jism ko karne laga kharal

ek bhiD jama ho gai donon ke ird-gard

paida hua na un ke amal mein magar KHalal

dekha tamam logon ne ek lutf-e-KHas se

izhaar-e-zat ka wo tamasha-e-be-badal

jab donon thak ke chur hue KHud hi haT gae

chehra kisi ka surKH tha bazu kisi ka shal

is waqiye ko sun ke karen aap faisla

un mein tha kaun kis se baDa intellectual

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now