Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shirini-e-ras-dar

Kaleem Chughtai

shirini-e-ras-dar

Kaleem Chughtai

MORE BYKaleem Chughtai

    shīrīñ hai rasīlī hai mazedār bahut hai

    har fard ise khāne ko tayyār bahut hai

    ḳhush-rang hai ḳhush-rū hai ye ḳhush-ḳhulq hai lā-raib

    jo khaa.e ise lutf se sarshār bahut hai

    hai sāḳht meñ pechīda magar asl meñ sīdhī

    fitrat bhalī tab.a meñ hamvār bahut hai

    saada hai sūrat to damaktī huī rangat

    is ke liye bas itnā singhār bahut hai

    khāte halāvat dahan meñ ho baserā

    is ke liye thoḌī miqdār bahut hai

    gūnā-gūñ haiñ ausāf jinheñ mānte haiñ sab

    bas vo nahīñ shāmil jinheñ pindār bahut hai

    jo fard ise dekhte chīñ-ba-jabīñ ho

    zāhir hai ki jiine se vo bezār bahut hai

    kuchh to ise halvā.ī dukkān pe khā.eñ

    kuchh ko ye amal karte hue aar bahut hai

    kyā ġham hai jo shopper pe hai sarkār bandish

    halvā.ī tahvīl meñ aḳhbār bahut hai

    ye yaad rakheñ khāne meñ rakhnā hai tavāzun

    jo bhūlā vo amrāz se do-chār bahut hai

    amrāz ko hargiz na vafādār banā.eñ

    varna ye rah-e-zindagī pur-ḳhār bahut hai

    go ab to ta.āruf zarūrat nahīñ chandāñ

    hai naam jalebī agar isrār bahut hai

    shirin hai rasili hai mazedar bahut hai

    har fard ise khane ko tayyar bahut hai

    KHush-rang hai KHush-ru hai ye KHush-KHulq hai la-raib

    jo khae ise lutf se sarshaar bahut hai

    hai saKHt mein pechida magar asl mein sidhi

    fitrat ki bhali taba mein hamwar bahut hai

    sada si hai surat to damakti hui rangat

    is ke liye bas itna hi singhaar bahut hai

    khate hi halawat ka dahan mein ho basera

    is ke liye thoDi si hi miqdar bahut hai

    guna-gun hain ausaf jinhen mante hain sab

    bas wo nahin shamil jinhen pindar bahut hai

    jo fard ise dekhte hi chin-ba-jabin ho

    zahir hai ki jine se wo bezar bahut hai

    kuchh to ise halwai ki dukkan pe khaen

    kuchh ko ye amal karte hue aar bahut hai

    kya gham hai jo shopper pe hai sarkar ki bandish

    halwai ki tahwil mein aKHbar bahut hai

    ye yaad rakhen khane mein rakhna hai tawazun

    jo bhula wo amraaz se do-chaar bahut hai

    amraaz ko hargiz na wafadar banaen

    warna ye rah-e-zindagi pur-KHar bahut hai

    go ab to taaruf ki zarurat nahin chandan

    hai nam jalebi agar israr bahut hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now