ho gai hai pir parwat si pighalni chahiye
ho ga.ī hai piir parvat sī pighalnī chāhiye
is himāle se koī gañgā nikalnī chāhiye
aaj ye dīvār pardoñ kī tarah hilne lagī
shart lekin thī ki ye buniyād hilnī chāhiye
har saḌak par har galī meñ har nagar har gaañv meñ
haath lahrāte hue har laash chalnī chāhiye
sirf hañgāma khaḌā karnā mirā maqsad nahīñ
merī koshish hai ki ye sūrat badalnī chāhiye
mere siine meñ nahīñ to tere siine meñ sahī
ho kahīñ bhī aag lekin aag jalnī chāhiye
ho gai hai pir parwat si pighalni chahiye
is himale se koi ganga nikalni chahiye
aaj ye diwar pardon ki tarah hilne lagi
shart lekin thi ki ye buniyaad hilni chahiye
har saDak par har gali mein har nagar har ganw mein
hath lahraate hue har lash chalni chahiye
sirf hangama khaDa karna mera maqsad nahin
meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye
mere sine mein nahin to tere sine mein sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye
- Book : Hindustani Gazle.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.