zaKHmon ko rafu kar len dil shad karen phir se
zaḳhmoñ ko rafū kar leñ dil shaad kareñ phir se
ḳhvāboñ kī koī duniyā ābād kareñ phir se
muddat huī jiine kā ehsās nahīñ hotā
dil un se taqāzā kar bedād kareñ phir se
mujrim ke kaTahre meñ phir ham ko khaḌā kar do
ho rasm-e-kohan taaza fariyād kareñ phir se
ai ahl-e-junūñ dekho zanjīr hue saa.e
ham kaise unheñ socho āzād kareñ phir se
ab jī ke bahalne kī hai ek yahī sūrat
biitī huī kuchh bāteñ ham yaad kareñ phir se
zaKHmon ko rafu kar len dil shad karen phir se
KHwabon ki koi duniya aabaad karen phir se
muddat hui jine ka ehsas nahin hota
dil un se taqaza kar bedad karen phir se
mujrim ke kaTahre mein phir hum ko khaDa kar do
ho rasm-e-kohan taza fariyaad karen phir se
ai ahl-e-junun dekho zanjir hue sae
hum kaise unhen socho aazad karen phir se
ab ji ke bahalne ki hai ek yahi surat
biti hui kuchh baaten hum yaad karen phir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.