Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera

Nida Fazli

ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    ek dhartī ham sab ghar jitnā terā utnā merā

    dukh sukh ye jantar-mantar jitnā terā utnā merā

    gehūñ chāval bāñTne vaale jhūTā tauleñ to kyā boleñ

    yuuñ to sab kuchh andar bāhar jitnā terā utnā merā

    har jīvan vahī virāsat aañsū sapnā chāhat mehnat

    sāñsoñ har bojh barābar jitnā terā utnā merā

    sāñseñ jitnī maujeñ utnī sab apnī apnī gintī

    sadiyoñ itihās samundar jitnā terā utnā merā

    ḳhushiyoñ ke baTvāre tak ūñche nīche aage pīchhe

    duniyā ke miT jaane Dar jitnā terā utnā merā

    ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera

    dukh sukh ka ye jantar-mantar jitna tera utna mera

    gehun chawal banTne wale jhuTa taulen to kya bolen

    yun to sab kuchh andar bahar jitna tera utna mera

    har jiwan ki wahi wirasat aansu sapna chahat mehnat

    sanson ka har bojh barabar jitna tera utna mera

    sansen jitni maujen utni sab ki apni apni ginti

    sadiyon ka itihas samundar jitna tera utna mera

    KHushiyon ke baTware tak hi unche niche aage pichhe

    duniya ke miT jaane ka Dar jitna tera utna mera

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now