tan mein dam rok main ba der rakha
tan meñ dam rok maiñ ba der rakhā
aao jī kis ne tum ko gher rakhā
ham ga.e vaañ to yaañ vo aayā vaah
ḳhuub qismat ne her-pher rakhā
kar gayā vo hī rāh-e-ishq ko tai
yaañ qadam jis ne ho diler rakhā
sab ko aajiz kiyā falak ne par ek
āhū-e-dil pe ġham ko sher rakhā
jā ke baiThe jo kū-e-yār meñ ham
vaañ se bāhar qadam na pher rakhā
ba.ad muddat vo dekh kar bolā
kis ne yaañ ḳhaak kā ye Dher rakhā
shukr ai dard-e-ishq tū ne sadā
zindagānī se ham ko ser rakhā
kaisā ghabrā gayā vo kal ham ne
Tuk jo raste meñ us ko gher rakhā
ḳhair ho yā ilāhī 'jur.at' ne
āshiqī meñ qadam ko pher rakhā
tan mein dam rok main ba der rakha
aao ji kis ne tum ko gher rakha
hum gae wan to yan wo aaya wah
KHub qismat ne her-pher rakha
kar gaya wo hi rah-e-ishq ko tai
yan qadam jis ne ho diler rakha
sab ko aajiz kiya falak ne par ek
aahu-e-dil pe gham ko sher rakha
ja ke baiThe jo ku-e-yar mein hum
wan se bahar qadam na pher rakha
baad muddat wo dekh kar bola
kis ne yan KHak ka ye Dher rakha
shukr ai dard-e-ishq tu ne sada
zindagani se hum ko ser rakha
kaisa ghabra gaya wo kal hum ne
Tuk jo raste mein us ko gher rakha
KHair ho ya ilahi 'jurat' ne
aashiqi mein qadam ko pher rakha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.