shayad aaghaz hua phir kisi afsane ka
shāyad āġhāz huā phir kisī afsāne kā
hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane kā
un se kuchh kah to rahā huuñ magar allāh kare
vo bhī mafhūm na samjheñ mire afsāne kā
dekhnā dekhnā ye hazrat-e-vā.iz hī na hoñ
rāsta pūchh rahā hai koī mai-ḳhāne kā
be-ta.alluq tire aage se guzar jaatā hai
ye bhī ik husn-e-talab hai tire dīvāne kā
hashr tak garmi-e-hañgāma-e-hastī hai 'shakīl'
silsila ḳhatm na hogā mire afsāne kā
shayad aaghaz hua phir kisi afsane ka
hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane ka
un se kuchh kah to raha hun magar allah kare
wo bhi mafhum na samjhen mere afsane ka
dekhna dekhna ye hazrat-e-waiz hi na hon
rasta puchh raha hai koi mai-KHane ka
be-talluq tere aage se guzar jata hai
ye bhi ek husn-e-talab hai tere diwane ka
hashr tak garmi-e-hangama-e-hasti hai 'shakil'
silsila KHatm na hoga mere afsane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.