Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ujaD ujaD ke sanwarti hai tere hijr ki sham

Mohsin Naqvi

ujaD ujaD ke sanwarti hai tere hijr ki sham

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ujaḌ ujaḌ ke sañvartī hai tere hijr shaam

    na pūchh kaise guzartī hai tere hijr shaam

    ye barg barg udāsī bikhar rahī hai mirī

    ki shāḳh shāḳh utartī hai tere hijr shaam

    ujaaḌ ghar meñ koī chāñd kab utartā hai

    savāl mujh se ye kartī hai tere hijr shaam

    mire safar meñ ik aisā bhī moḌ aatā hai

    jab apne aap se Dartī hai tere hijr shaam

    bahut aziiz haiñ dil ko ye zaḳhm zaḳhm ruteñ

    inhī rutoñ meñ nikhartī hai tere hijr shaam

    ye merā dil ye sarāsar nigār-ḳhāna-e-ġham

    sadā isī meñ utartī hai tere hijr shaam

    jahāñ jahāñ bhī mileñ terī qurbatoñ ke nishāñ

    vahāñ vahāñ se ubhartī hai tere hijr shaam

    ye hādisa tujhe shāyad udaas kar degā

    ki mere saath martī hai tere hijr shaam

    ujaD ujaD ke sanwarti hai tere hijr ki sham

    na puchh kaise guzarti hai tere hijr ki sham

    ye barg barg udasi bikhar rahi hai meri

    ki shaKH shaKH utarti hai tere hijr ki sham

    ujaD ghar mein koi chand kab utarta hai

    sawal mujh se ye karti hai tere hijr ki sham

    mere safar mein ek aisa bhi moD aata hai

    jab apne aap se Darti hai tere hijr ki sham

    bahut aziz hain dil ko ye zaKHm zaKHm ruten

    inhi ruton mein nikharti hai tere hijr ki sham

    ye mera dil ye sarasar nigar-KHana-e-gham

    sada isi mein utarti hai tere hijr ki sham

    jahan jahan bhi milen teri qurbaton ke nishan

    wahan wahan se ubharti hai tere hijr ki sham

    ye hadisa tujhe shayad udas kar dega

    ki mere sath hi marti hai tere hijr ki sham

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 263)
    • Author : Mohsin Naqvi
    • Publication : Mavra Publishers (2010)
    • Edition : 2010

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now