kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai
kaise kah duuñ kī mulāqāt nahīñ hotī hai
roz milte haiñ magar baat nahīñ hotī hai
aap lillāh na dekhā kareñ ā.īna kabhī
dil kā aa jaanā baḌī baat nahīñ hotī hai
chhup ke rotā huuñ tirī yaad meñ duniyā bhar se
kab mirī aañkh se barsāt nahīñ hotī hai
hāl-e-dil pūchhne vaale tirī duniyā meñ kabhī
din to hotā hai magar raat nahīñ hotī hai
jab bhī milte haiñ to kahte haiñ ki kaise ho 'shakīl'
is se aage to koī baat nahīñ hotī hai
kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai
roz milte hain magar baat nahin hoti hai
aap lillah na dekha karen aaina kabhi
dil ka aa jaana baDi baat nahin hoti hai
chhup ke rota hun teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barsat nahin hoti hai
haal-e-dil puchhne wale teri duniya mein kabhi
din to hota hai magar raat nahin hoti hai
jab bhi milte hain to kahte hain ki kaise ho 'shakil'
is se aage to koi baat nahin hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.