Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga

Meer Taqi Meer

jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    jo ye dil hai to kyā sar-anjām hogā

    tā-ḳhāk bhī ḳhaak ārām hogā

    mirā to āñkhoñ meñ aayā ye sunte

    ki dīdār bhī ek din aam hogā

    na hogā vo dekhā jise kabk ne

    vo ik baaġh sarv-andām hogā

    na niklā kar itnā bhī be-parda ghar se

    bahut us meñ zālim to badnām hogā

    hazāroñ yaañ lag ga.iiñ chhat se āñkheñ

    ai maah kis shab-e-lab-e-bām hogā

    vo kuchh jāntā hogā zulfoñ meñ phañsnā

    jo koī asiir tā-dām hogā

    jigar-chākī nākāmī duniyā hai āḳhir

    nahīñ aa.e jo 'mīr' kuchh kaam hogā

    jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga

    ta-KHak bhi KHak aaram hoga

    mera ji to aankhon mein aaya ye sunte

    ki didar bhi ek din aam hoga

    na hoga wo dekha jise kabk tu ne

    wo ek bagh ka sarw-andam hoga

    na nikla kar itna bhi be-parda ghar se

    bahut us mein zalim to badnam hoga

    hazaron ki yan lag gain chhat se aankhen

    tu ai mah kis shab-e-lab-e-baam hoga

    wo kuchh jaanta hoga zulfon mein phansna

    jo koi asir ta-dam hoga

    jigar-chaaki nakaami duniya hai aaKHir

    nahin aae jo 'mir' kuchh kaam hoga

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0080
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now