Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe

Meer Taqi Meer

kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kahāñ tak ġhair jāsūsī ke lene ko lagā aave

    ilāhī is balā-e-nā-gahāñ par bhī balā aave

    rukā jaatā hai andar andar aaj garmī se

    balā se chaak ho jaave siina Tuk havā aave

    tirā aanā ab markūz hai ham ko dam-e-āḳhir

    ye sadqe kiyā thā phir na aave tan meñ aave

    ye rasm-e-āmad-o-raft-e-dayār-e-ishq taaza hai

    hañsī vo jaa.e merī aur ronā yuuñ chalā aave

    asīrī ne chaman se merī dil-garmī ko dho Daalā

    vagarna barq kar āshiyāñ merā jalā aave

    umīd-e-rahm un se saḳht nā-fahmī hai āshiq

    ye but sañgīñ-dilī apnī na chhoḌeñ gar ḳhudā aave

    ye fann-e-ishq hai aave use tīnat meñ jis ho

    zāhid-e-pīr-e-nā-bāliġh hai be tah tujh ko kyā aave

    hamāre dil meñ aane se takalluf ġham ko bejā hai

    ye daulat-ḳhāna hai us vo jab chāhe chalā aave

    ba-rañg-e-bū-e-ġhuncha umr ik rañg meñ guzre

    mayassar 'mīr'-sāhib gar dil be-mudda.ā aave

    kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe

    ilahi is bala-e-na-gahan par bhi bala aawe

    ruka jata hai ji andar hi andar aaj garmi se

    bala se chaak hi ho jawe sina Tuk hawa aawe

    tera aana hi ab markuz hai hum ko dam-e-aKHir

    ye ji sadqe kiya tha phir na aawe tan mein ya aawe

    ye rasm-e-amad-o-raft-e-dayar-e-ishq taza hai

    hansi wo jae meri aur rona yun chala aawe

    asiri ne chaman se meri dil-garmi ko dho Dala

    wagarna barq ja kar aashiyan mera jala aawe

    umid-e-rahm un se saKHt na-fahmi hai aashiq ki

    ye but sangin-dili apni na chhoDen gar KHuda aawe

    ye fann-e-ishq hai aawe use tinat mein jis ki ho

    tu zahid-e-pir-e-na-baaligh hai be tah tujh ko kya aawe

    hamare dil mein aane se takalluf gham ko beja hai

    ye daulat-KHana hai us ka wo jab chahe chala aawe

    ba-rang-e-bu-e-ghuncha umr ek hi rang mein guzre

    mayassar 'mir'-sahib gar dil be-muddaa aawe

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0563
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now