Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khaDe hain dil mein jo barg-o-samar lagae hue

Ahmad Mushtaq

khaDe hain dil mein jo barg-o-samar lagae hue

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    khaḌe haiñ dil meñ jo barg-o-samar lagā.e hue

    tumhāre haath ke haiñ ye shajar lagā.e hue

    bahut udaas ho tum aur maiñ bhī baiThā huuñ

    ga.e dinoñ kamar se kamar lagā.e hue

    abhī sipāh-e-sitam ḳhema-zan hai chaar taraf

    abhī paḌe raho zanjīr-e-dar lagā.e hue

    kahāñ kahāñ na ga.e ālam-e-ḳhayāl meñ ham

    nazar kisī ke dar-o-bām par lagā.e hue

    vo shab ko chiir ke sūraj nikāl bhī laa.e

    ham aaj tak haiñ ummīd-e-sahar lagā.e hue

    diloñ aag jalāo ki ek umr huī

    sadā-e-nāla-e-dūd-o-sharar lagā.e hue

    khaDe hain dil mein jo barg-o-samar lagae hue

    tumhaare hath ke hain ye shajar lagae hue

    bahut udas ho tum aur main bhi baiTha hun

    gae dinon ki kamar se kamar lagae hue

    abhi sipah-e-sitam KHema-zan hai chaar taraf

    abhi paDe raho zanjir-e-dar lagae hue

    kahan kahan na gae aalam-e-KHayal mein hum

    nazar kisi ke dar-o-baam par lagae hue

    wo shab ko chir ke suraj nikal bhi lae

    hum aaj tak hain ummid-e-sahar lagae hue

    dilon ki aag jalao ki ek umr hui

    sada-e-nala-e-dud-o-sharar lagae hue

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    khaDe hain dil mein jo barg-o-samar lagae hue Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now